Kitna Pyar Hai Unse Kash Wo
Jaan Le, Wo He Hai Zindagi
Mere Ye Baat Maan Le, Unko
Dene Ke Liye Kuch Nhi Mere
Paas, Bas Ek Jaan
Hai Jab Jee Chahe Maang Le!
Phir Aaj Koi Gazal Tere Naam Na Ho Jaye
Kahin Likhte Likhte Shaam Na Ho Jaye
Kar Rahe Hain Intezaar Teri Mohabbat Ka
Isi Intezaar Me Zindagi Tamam Na Ho Jaye.
Apke aane se zindagi kitni khubsoorat hai,
Dil me basayi hai jo woh apki hi surat hai,
Dur jaana nahi humse kabhi bhulker bhi,
Hume har kadam per aapki zarurat hai.
Chehre ki hansi se har gam chhupao,
Bahut kuch bolo par kuch na batao,
Khud na rootho kabhi par sabko manaao,
Raaz hai ye zindgi ka bas jeete chale jao…
मेरी फितरत :sunglasses: में नहीं :x: है किसी से :busts_in_silhouette: नाराज :smirk: होना..! नाराज :smirk: वो होते है जिसे :bust_in_silhouette: खुद पर गुरुर :smirk: होता है..!
Ankho Me Sama Jao Is Dilme
Raha Karna, Taaro Me Hasa
Karna Phoolo Me Khila Karna,
Jabse Tumhe Dekha Hai Jabse
Tumhe Paya Hai, Kuch Hosh
Nahi Mujhko Ek Nasha Sa
Chaya Hai, Ab Baat Jo Bhi
Karni Ho Ankho Se Kaha Karna..
Ghairon Main Hain Jo Shad, Unhain Eid Mubarak
Jin Ko Nhain Ham Yaad, Unhain Eid Mubarak
Masoom Se Armano Ki Masom Si Duniya
Jo Kar Gaye Barbad Unhain Eid Mubarak
Dil Ko Khush Karde Aisi Muskurahat
Hai Tumhri, Mere Dil Ko Chura Le
Aisi Adaaen Hai Tumhri, Jee Karta
Hai Doob Jau Teri Aankho Me, Duniya
Me Sabse Pyari Hai Aankhe Tumhri.
Tu Nahi To Zindagi Mein Kya Reh
Jayega, Door Tak Tanhaiyo Ka
Silsila Reh Jayega, Har Kadam
Pe Sath Chalna Ae Dost, Warna
Tera Ye Dost Tanha Reh Jayega.
Chahat Hai, Pyar Jee Bhar Ke Karne Do,
Apni Mohabbat Ka Izhaar Jee Bhar Ke Karne Do,
Utha Ke Dekho Nazarein Humari Taraf,
Thoda Hume Tumhara Deedar Karne Do.
Wo Din Mohabbat Ka Aaj Bhi Yaad Hai Mujhko
Mere Sang Bitaye Pal, Kya Yaad Hai Tujhko
Aaj Bhi Dil Tadapta Hai Mera, Ussi Sirhane Ko
Mere Baalon Ki Khushbu, Kya Yaad Hai Tujhko
Wo Din Suhane The, Bada Josh Tha Dil Diwane Ko
Mera Pal Pal Tujhpe Marna, Kya Yaad Hai Tujhko
Shikwon Shikayaton Me Zndgi Beeta
Dali
Pas Sab Kuch Tha Firbi Reh Gayi Jholi
Khali
Reit Ki Tarah Waqt Mutthi Se Fisalta Hi
Gaya
Jab Ehsaas Hua Waqt Ne Hi Daga De Dali..!