Ae Khuda Meri Mohabbat Mere Havaale Karde
Tadap Rahi Hu Uske Bina Yeh Judaai Kam Karde
Reham Kar Iss Chote Se Dil Pe Ya Khudaaya
Uski Mohabbat Mere Naseeb Mein Karde..iii
Sabhi insan hai magar farq sirf itna hai,
Koi zakhm deta hai to koi zakhm bhrta hai.
Humsafar bahut hai magar farq sirf itna hai,
Koi saath deta hai to koi chhod deta hai.
Pyar sare karte hai magar farq sirf itna hai,
Koi jaan deta hai to koi jaan leta hai…..!!
By - Silent love.
Nigaho Me Or Koi Dosti Ke Kabil NaRaha,
Is Kinare Ka Or Koi Sahil Na Raha
Chand Jaisa Dost Mila Hume ZaminPar,
Aasma Ka Chand Bhi Ab Deedar K Kabil Nahi Raha….
Tujhe Dekhta Hu To Accha Lagta Hai,
Tujhse Bolta Hu To Accha Lagta Hai,
Bhale Hi Ho Dard Dunia Bhar Ka Mere Jeevan Me
Par,
Mai Ek Pal Tujhe Sochta Hu To Accha Lagta Hai..
By - Silent love
Ek Baat Main Apne Dil Main Ghumta Reheta Hu.
Kab Tujhse Kahunga Ye Apne Dil Se Puchta Reheta Hu.
Dil Keheta Reheta Hai Har Waqt.She is Need You
Jakar Kehe De
I Love You
Jab Pehli Baar Mile Thay Hum
Mai Tab Se Tumhe Chaahti Hu..
Fursat Ke Har Lamho Me
Tumhe Apne Saath Paati Hu..
Tumhari Yaad Jab Aati Hai
Mai Saath Unke Lehraati Hu..
Kaise Kahu Mai Tumhe Sanam
Ki
Kitna Mai Tumhe Chaahti Hu..!
सिर्फ मोहब्बत को पाना ही मोहब्बत
नहीं होती,
कभी तुम भी कर लेते ऐतबार तो ये दुरी न
होती,
माफ़ कर देना गलतियों को मेरे,
तुम्हे चोट पोहचे ऐसी कभी मेरी तमन्ना
नहीं होती.
Mariz-e-muhabbat unhin ka fasana
sunata raha dam nikalate nikalate
magar zikr-e-sham-e-alam jab bhi aaya
chirag-e-sahar bujh gaya jalate jalate
irada tha tark-e-muhabbat ka lekin
fareb-e-tabassum mein phir aa gaye hum
abhi khake thokar sambhalane na paye
ki phir khai thokar sambhalate sambhalate
Dil Apna Bhi Tuta Tha
Jab Tune Yun Chora Tha
Pyar Toh Tha Humain Tumse
Toh Kyu Dil Ko Maroda Tha.
Yaad Aayi Toh Ab Aaye
Pyar Tum Na Samaj Paaye
Galti Hogyi Tumse
Jo Waapas Loth Tum Aaye.
Shayad Main Ab Mohabbat Na Kar Paungi
Chaahu Bhi Toh Kisi Or Ki Na Ho Paungi.
Malum Na Tha Ki Ye Dillagi Dil Ko Yu Le Jayegi
Ki Jinda Ho Kar Bhi Main Saans Na Le Paugi..!
Apni Har Shayari Me Tera Naam
Likhte Hain, Apni Har Saans
Pe Tera Naam Likhte Hain..
Agar Yakeen Nahi To Aazma Ke
Dekh Lo, Tere Samne Dil Khol
Ke Tera Naam Likhte Hain..!
Kabhi Lafz Bhul Jaun, Kabhi Baat Bhul Jaun,
Tujhe Iss Kadar Chahon Ke Apni Zaat Bhul Jaun,
Uth Ke Tere Pass Se Jo Main Chal Doon,
Jaate Hue Khud Ko Tere Pass Bhul Jaun.