हर फैसला होता नहीं सिक्का उछाल के ,
ये दिल का मामला है ज़रा देखभाल के ,,
मोबाइल के दौर के आशिकों को कौन समझाये ,
रखते थे कैसे ख़त में कलेजा निकाल के ,,
Yado ko unki ham ne khone na diya,
Gamo ne hame chup hone na diya,
Aankhe to aaj bhi bhar ayi unki yaad me,
Par unki hasti hui surat ne hame rone na diya.
Door rehkar un dooriyon ko badhya nhi karte,
Apne dost ko is tarha sataya nhi karte,
Jise harwaqt khyal ho aapka,
apni aawaz ke liye usse istarha tarsaya nhi karte..
Ishq Ka Dard Chahat Se zyada Aur Koi Nahi Jaanta....
Uski Har Khamoshi Ka Raaz IbadatSe zyada Aur Koi Nahi Jaanta.....
Har Sajde Me Maanga Hai Jise.....
Yeh Baat Uss Mohabbat Se zyada Aur Koi Nahi Jaanta....
.
Mit Jaye Ye Doori Agar Tum Chaho;
Na Koi Majboori Hogi Agar Tum Chaho;
Hame To Hai Chahnewale Bahut;
Magar Hamari Ye Tamanna Hai K Hame Sirf Tum Chaho...
Likhna Kaise Chhod Du Ye Meri
Kahaani Hai, Kagaz Kalam Meri
Hai Jo Uski Deewani Hai..
Har Lafz Ko Choom Ke Hawa Ne
Ye Kaha, Choom Lene De
Kahaani Mujhe Usko Sunaani Hai!
Jab Dekha Tere Aankhon Mein Maine
Thum Sa Gaya Yeh Dil Mera..
Jab Chuma Labbo Ko Tera
Khil Sa Gaya Yeh Dil Mera..
Jab Aaye Tum Meri Banho Main
Mahek Sa Gaya Yeh Dil Mera..
Jab Aaya Waqt Juda Hone Ka Tum Se
Udaas Ho Gaya Yeh Dil Mera..
Aab Ye Aalam Hai
Utthi Hai Nazre Jaha
Chehra Tumhara Hota Hai Waha
Mujh Se Kehta Hai Yeh Dil Mera
Le Chaal Wapas Mujhe Un Banhon Main
Aj Bas Ap Kaho Aur Kehte Hi Jao;
Hum Bas Sune Aisa Bezubaa Kardo
Hui Purani Dastan Heer Ranjha Ki;
Tareeq Mohabbat Ki Phir Se Jawaa Kardo
Ajao K Aisa Toot Kar Chahu Tumhe;
Hamari Mohabbat Ko Mohabbat Ka Nishaa Kardo
Apne Dil Me Is Tarha Chupalo Mujhko;
Rahun Mai Hamesha Isme Aisa Mera Makaa Kardo
Patthar ki duniya hai ye jazbat nahi samjhti.Dil mein kya wo baat nahi samjhti.Tanha to chand bhi hai sitaron ke beach.Par chand ki tanhai ye raat nahi samjhti.
Ek Ladke Ke Face Par Infection Ho Jata Hai,
Uske Papa Use Doctor Ke Paas Le Jate Hai.
Checkup Karne Ke Baad Doctor Ladke Se Bola.
Doctor: “Girlfriend Ko Bolo Lipstick Ka Brand Badle, Tumhe Lakme Se Allergy Hai“
Tumhain Bakshi Hai Dil Pe Hukmarani, Aur Kia Dete
Yehi Thi Bas Hamari Rajdhani, Aur Kia Dete
Sitaron Se Kisi Ki Mang Bharna Ik Fasana Hai
Tumhare Naam Likh Di Zindgani, Aur Kia Dete
Wo Ham Se Mangta Tha Umar Ka Ik Dilnishain Hissa
Na Dete Us Ko Ham Apni Jawani, Aur Kia Dete
Bicharte Waqt Us Ko Ik Na Ik Tuhfa To Dena Tha
Hamare Pass Tha Aankhon Main Pani, Aur Kia Dete
Aye Ajnaabi..
Na Jaane Kyu Aase Baat Karna
Accha Lagta Hai..
Na Jaane Kyu Aapse Pyar Karne Ka
Mann Karta Hai..
Shayed Mere Dil Ko Aapse Pyar Ho Gaya Hai..
Par
Na Jaane Kyu Izhaar Karne Se
Darr Lagta Hai...!