kabhi dost kehte ho,
kabhi dua dete ho,
kabhi bewaqt need se jaga ete ho..
par jab yaad karte ho sweet
khuda ki kasam - zindagi ke sare ghum bhula dete ho .
Aaj Aankho Ke Niche Maine
Ek Bund Paya, Puchha To Bola
Yoohi Nikal Aaya, Humne Puchha
Kyon Kuchh To Karan Hoga,
To Bola Aakhir Kab Tak
Chhupa Pata Aapki Tanhai!!
Tanhaiyon Ke Shehar Me Ek Ghar Bana Liya
Ruswaiyo Ko Apna Muqaddar Bana Liya
Dekha Hain Yaha Patthar Ko Poojte Hain Log
Isliye Humne Apne Dil Ko Bhi Patthar Bana Liya
Tumhare Gum Bhi Hum Apne Sine Mein
Chupa Lenge, Tumhare Aansu Bhi
Hum Apni Aankho Se Baha Lenge,
Bas Ek Baar Tum Humpe Aitbaar
Karke Dekh Lo Sanam Khuda Ki Kasam
Tumhe Apne Sine Mein Basa Lenge.
Wo Jazbon Ki Tijarat Thi, Ye Dil Kuch Aur Samja Tha
Usay Hansane Ki Aadat Thi, Ye Dil Kuch Aur Samja Tha
Muje Wo Dekh Kar Aksar, Nigahain Phair Leta Tha
Ye Dar Parda Hiqarat Thi, Ye Dil Kuch Aur Samja Tha
Ishq Wale Ankhon Ki Baat Samajh
Lete Hain, Sapno Mein Mil Jaye
To Mulaqat Samajh Lete Hain.
Rota To Asman Bhi Hain Apne
Bichde Pyaar Ke Liye, Par Log
Use Barsat Samajh Lete Hain..
Pyar zindgi ki trah hota hai jiska har mod aasan nhi hota.
har raste par khushi nahi milti par jab ham zindgi ka sath nai chorte to pyar krna kyu chorte hai.
Ab bhi taaza hai zakhm seene mein, Bin tere kya rakha hai jeene mein, Hum to zinda hain tera sath paane ko, Warna der kitni lagti hai zaher peene mein....
तेरे बगैर इस ज़िन्दगी की हमें जरुरत नहीं;
तेरे सिवा हमें किसी और की चाहत नहीं;
तुम ही रहोगे हमेशा मेरे दिल में;
किसी और को इस दिल में आने की इजाज़त नहीं।
Mere Dil Ki Har Dhadkan Tumhare Liye Hai Meri Har Dua Tumhari Muskurahat Ke Liye Hai Tumhari Har Adaa Mere Dil Ko Churane Ke Liye Hai Ab To Meri Zindagi Tumhare Intezar Ke Liye Hai
Dil Ne Tere Pyar Per Majboor Mujhe Kar Diya
Dil Ne Tere Pyar Per Majboor Mujhe Kar Diya
Is Jahan Ki Har Khushi Se Door Mujhe Kar Diya
Jis Qadar Dil Tere Paas Aana Chahta Tha
Is Qadar Dunya Ne Tujh Ko Door Mujh Se Kar Diya
dushman ko bhee seene se lagana nahiN bhoole
hum apne buzurgoN ka zamana nahiN bhoole
tum aaNkhoN ki barsaat bachaaye huye rakhna
kuch log abhi aag lagaana nahiN bhoole
ye baat alag haath qalam ho gaye apne
hum aapki tasveer bananaa nahiN bhoole
ik umR huyee maiN to hansi bhool chuka hooN
tum ab bhee mere dil to dukhaana nahiN bhoole..