Teri Baho Me Aj Mujhe Bikhar Jane De;
Mehekti Hui Sanso Me Mujhe Utar Jane De
Tanha Hai Raat Aur Mausam Sard Hai;
Apni Sanso Me Aj Mujhe Mehek Jane De
Khwabo Me Tere Aj Mujhe Behek Jane De;
Dil Me Tere Aj Mujhe Utar Jane De...
Duniya Me Yaade Badi Khaas Hoti Hai,
Jo Door Hai Unke DiL Ke Paas Hoti Hai,
Yaad Karne Ke Liye Wajah Zaruri Nahi,
Yaade To Rishto Ke Beech Ka Ehsaas Hoti Hai.
ए रात सोने दे...
ए रात सोने दे यूं तंग ना किया कर;
बेकार सवालों में पाबंद ना किया कर;
इस के सिवा और भी ज़माने के काम हैं;
तु मेरे ख्यालात बे-ढंग ना किया कर;
दुनियाँ में और लोग भी बस्ते हैं तन्हा;
तु सिर्फ मेरे साथ ही जंग न किया कर;
ए रात सोने दे यूँ तंग ना किया कर;
मज़बूत हूँ, पर इतना भी नहीं हूँ;
दुनिया के सभी ग़म मेरे संग ना किया कर;
ए रात सोने दे यूँ तंग न किया कर।
Har Tarannum Me Mili Hai Teri Awaaz Mujhe,
Ek Hi Nagma Sunata Hai Har Ek Saaz Mujhe,
Jo Kisi Ko Bhi Na Chaahe Use Chahana Tum,
Umar Bhar Yuhi Apni Muhabbat Par Raha Naaz Mujhe.
Armaano ki ginti to mujhe nahi aati,
Par dil ka ek khayal aapse keh du,
Agar paani ki har 1 boond pyaar ban jaye,
To tohfe me apko saara samander de du?
Na kah saqi bahar aane ke din hain
jigar ke daag chil jane ke din hain
ada si khub ada aane ke din hain
abhi to dur sharmane ke din hain
gareban dhundhate hain hath mere
chaman mein phul khil jane ke din hain
tumhen raz-e-muhabbat kya batayen
tumhare khelane khane ke din hain
ghatayen udi udi kah rahi hai
may-e-angur khinchavane ke din hain
Mohabbat ho gayi jinse shikayat unse kya hogi,
Zuban tak baat jo aayi yakinan woh dua hogi,
Agar woh ruth gaye mujhse,
Toh zaroor koi meri hi khata hogi..
Chahat Paane Ki Hasrat Kise Nahi
Hoti, Magar Har Kisi Ki Aisi
Kismat Nahi Hoti, Koi Ek Hota
Hai Jo Sama Jata Hai Dil Me, Har
Kisi Se Ye Mohobbat Nahi Hoti.
Do Kadam Chal Ke Mere Saath Bichadne
Wale
Tu Ne Manzil Se Bahut Dur Mujhe Chhod
Diya
Mujh Ko Manzil Ke Bichadne Ka Koi Gam
Nahi
Lekin Tere Andaz E Wafa Ne Mera Dil Tod
Diya..!
तु ही मिल जाए मुझे बस इतना ही काफी है;
मेरी हर सांस ने बस ये ही दुआ मांगी है;
जाने क्यूँ दिल खिंचा चला जाता है तेरी तरफ;
क्या तूने भी मुझे पाने की दुआ मांगी है।
Baat Kehne Ki Nahi Fir bhi Keh Deti Hu,
Waqt Ke Saaye Me Halaat Badal
Jate Hain Ye Haqiqat Hai
Mere Dilme Tum Aaj Bhi Ho, Dil
Badalte Nahi Jazbaat Badal Jate Hain..!