Bepanah Chaha Jise Wo Laut Kar Aaya Nahi
Mere Dil Ko Uske Siva Aur Koi Bhaya Nahi
Pyar Ki Saudagiri Me Hum Barbaad Rahe
Usne Kuch Khoya Nahi Maine Kuch Paya Nahi..!
Dil Ke Bazaar Me Doulat Nahi Dehki Jati
Pyar Ho Jaye To Surat Nahi Dekhi Jati
Ek Hi Insan Par Luta Do Sab Kuch Kyonki
Pasand ho Cheez to To Kimat Nahi dekhi Jati...
Sari duniya se ham anjaan bane unke liye
Hamse wahi ab anjaan bane bathe hai
Yeh dil ab aur intzaar mat kar
Lagta hai woh kisi aur ke mehman banye bathe hai…
Wo Mujh Par Ajeeb Asar Rakhta Hai
Mere Adhure Dil Ki Khabar Rakhta Hai
Shayad...
Main Use Bhool Jata
Magar Apne Pyar Ko Wo Mere Dil Mein Basaye Rakhta Hai...
Bahut Armaan Tha Tere Pyar Ko Paane Ka
Shikwa Hai Sirf Tere Khamosh Reh Jane Ka
Deewangi Is Se Badh Kar Kya Hogi
Aaj Bhi Intezar Hai Tere Laut Aane Ka..!
Khud tere paas aane ko jee chata hi,
roya hu bhut uske liye.
ab usko rulane ko jee chata hai ,
socha nhi tha aauga tere paas ,
unko kbhi chhod ke.
lekin ab tere pas aane ko jee chata hi.
Chahton ke is samandar mein ek naam hamara ho,
Duniya ki is bheed mein ek chehra hamara bhi ho,
Chahlen jab bhi akele thaam le haath wo mera,
Kaash...koi to aisa bhi hamara ho.
तू भी अपना होने का कुछ हक जता दे
यूं गवारा नहीं जीना बिन तेरे मुझे
कोई तो वजह बता दे
डूबा हूं जिस कदर तेरी चाहत में तूं भी डूबे
ऐसे कुछ तो हालात बना दे
कुछ और नहीं तो कर इतना करम
जहां तू याद ना आये वो जगह बता दे
Tu nahi to zindagi main aur kya reh jayega
dur tak tanhaiyon ka silsila reh jayega
kijiye kya guftagu kya un se mil kar sochiye
dil-shikasta khvahishon ka zayaqa reh jayega
dard ke sari tahen aur sare guzri hadase
sab dhuan ho jayenge ek vaqiya reh jayega
ye bhi hoga wo mujhe dil se bhula dega magar
yun bhi hoga khud usi mein ek khala reh jayega
dayar-e-inkar ke iqarar ke saragoshiyan
ye agar tute kabhi to fasala reh jayega
TujhSe bichhar Kar bhi main Jinda hoon,,,
Tujhse bichharne ke pahle bhi main jinda tha,,,
Fark sirf itna hai ,,,
Pahle hanskar jindgi guzarti thi aur Av rokar jindgi guzarti hai..!