Honth Keh Nahi Sakte Jo Fasana Dil Ka,
Shayad Nazar Se Woh Baat Ho Jaye.
Is Umeed Mein Karte Hain Intezaar Raat Ka,
Ke Shayad Sapne Mein Mulaqat Ho Jaye…
Sabke chehre me wo bat nahi hoti.
Thode se andhere se rat nahi hoti.
Zindgi me kuch log bahut pyare hote hai.
Kya kare unhi se hamari mulakat nahi hoti.
Ghazal Lovers K Liye ♡
Jalte honton pe tabassum jo
machalta hai kabhi,
Zakhm dhul jaate hain sawan jo
barasta hai kabhi, ♡
Main ne sochon mein taraashe
hain khad-o-khaal tere,
Mere baare mein bata tu ne bhi
socha hai kabhi..?? ♡
Chardte suraj se kabhi tu ne
milayi hai nazar,
Tu ne kirno ki taraf gaur se
dekha hai kabhi..?? ♡
Log kahte hain ke patthar mein
khilte hain ummidon ke Gulab,
Yun bhi mumkin hai bata aisa bhi
hota hai kabhi..?? ♡
Tu ne samjha tha ke wo laut ke
ajaaye ga
Aankh se bichrda hua ashk bhi lauta
hai kabhi...?? ♡
Taaro ki bi kuch kahani hogi ,
Antrishk ki duniya bi suhani hogi ,
Aise hi nhi he asman ki sundarta ,
Jarur woh bi kisi k
"pyaar" ki nishani hogi.....Kishor Upase {P}
Mohabbaton Ki Saza Be-Misal Di Uss Ne,
Udhas Rehne Ki Aadat Si Daal Di Uss Ne,
Maine Jab Bhi Apna Banana Chaha Usko,
Baato-Baato Main Baat Taal Di Uss Ne.
Jaadu Unka Chalne Laga Hai Hum
Par, Haq Unka Badhne Laga Hai
Hum Par, Jabhi Aata Hai Unka
Khayal Mushkura Dete Hai Hum,
Ab To Lagta Hai Aisa Ke, Ishq
Unka Chadhne Laga Hai Hum Par.
Teri Ankhon ke Nashe mai doob jaun..
Teri Julfooo ki Chao Mein khud ko Bhul jaun..
Teri hothon ki Hasi ko pee loo ae sanaam…
Aa kareeb mere teri bhaahon mai khud ko bhul jau...
वो दर्द ही क्या जो आँखों से बह जाए!
वो खुशी ही क्या जो होठों पर रह जाए!
कभी तो समझो मेरी खामोशी को!
वो बात ही क्या जो लफ्ज़ आसानी से कह जायें.........!
Ek khwaish sirhane rakh do,
Aaj mujh pe inaayat kar do,
Zara chupkey se khaamoshi se,
Tum izhaar-e-mohabbat kar do
Khud ko kar ke deewana sa,
Mera pyaar amar tum kar do,
Main pyaas me dooba sehra hun,
Tum mujh ko samandar kar do,
Main yu hi phirta hun dar-ba-dar
Tum khud ko meri manzil kar do.
Sirf Itna Kehna Hai Pyar Hai Tum se
Jazbaton ki Koi Numaish nahi ki Hum ne
Pyar ke badle sirf Pyar manga hai Hum ne
Rishte ki to Koi Guzarish Nahi ki Hum ne
Chatey Ho To Bhoola Dena Humain Dil se
Sada Yaad Rakhne Ki Sifarish Nahi Ki Hum ne
Khamoshi Se ToofaN Seh Lete Hain Hum to
Un Badalon Ne Izhar Ki Barish Nahi Ki
Tumhain Hi Mana Hai Rehnuma Apna
Aur Tu Kisi Cheez Ki Khuwahish Nahi ki
SirF ItnA KehnA hai Pyaar Hai Tum Se…