Badal Ki Tarha Aawara Hain
Hum, Bhulaa Na Paoge Jise,
Wo Nazara Hain Hum, Toot
Ke Fanah Ho Jaye, Jo Aapki
Ek Khwahish Pe, Aasman Ka
Wo Andekha Sitara Hain Hum!!
Insan Pyar Kare Ya Nafrat Wo Uski
Soch Par Hai
Kaun Kiske Liye Bana Hai Ye Us Khuda
Par Hai
Zndgi To Ansuon Ke Aane Jane Ka Safar
Hai
Jo In Behte Hue Ansuon Ko Rok Le Wohi
Saccha Humsafar Hai..!
Masoom kitni meri jana jee karta hai use naino me basa lu,
kitni achhi hai uski muskaan jee karta hai usko hotho me saja lu,
tu mujhe hr waqt is qadar yaad aati hai ki jee karta hai tujhe seene se laga lu....
Fiza Mein Mehakti Saam Ho Tum....
Pyaar Mein Jhalakta Jaam Ho Tum....
Sine Mein Chupaye Phirte Hain Hum Yaadein Tumhari...
Isliye Meri Zindagi Ka Dusra Naam Ho Tum...
Hum Khwabo Me Tumse Mila Karte Hai;
Haste Hai Rote Hai Shikwa Gila Karte Hai;
Par Keh Nahi Pate Hai Haqiqat Tumse;
Aye Sanam Hum Tumse Bahut Pyar Karte Hai!!!
Maza Aata Hai Mujhe Tumhe Sataane Me,
Jab Tak Roothe Na Koi To Maza Kya Manaane Me,
Rootho Sanam Tum Ji Bhar Ke Rootho,
Hum Teri Ye Berukhi Bhi Seh Lenge..
Kyu Ki..
Tum Hi Mere Dil Ki Khusi Ho,
Warna Kya Rakha Hai Is Zamane Me!
Tere Bina Toot Kar Bikhar Jayenge
Tum Mil Gaye To Gulshan Ki Tarah
Khil Jayenge..
Tum Na Mile To Jeete Ji Mar Jayenge
Tumhe Paa Liya To Markar Bhi Hum
Ji Jayenge..!
Aap apnay qareeb aanay nahin daitay,
Khud ko seenay say laganay nahin daitay,
Dil aap ki yaad main tarapta bhi bohut hay,
magar aap hamain aanso bahanay nahin daitay,
aap ki yaadon ko rook pana hay mushkil,
Rooth’tay hain to phir mananay nahin daitay…
महफील भी रोयेगी, हर दिल भी रोयेगा ,
ङुबी जो मेरी कस्ती तो साहील भी रोयेगा ,
हम इतना प्यार बीखेर देगे इस दुनीया मे के,
मेरी मौत पे मेरा कातील भी रोयेगा……!!
Kisi Ke Paigam Ko Zara Pyar Se Padha Kijiye,
Kisi Ki Chahat Ka Ehsaas Kiya Kijiye,
Koi Dil Se Yaad Karta Hai Aapko,
Kam Se Kam Hichkiyan To Liya Kijiye.
Yaadien aksar hoti hain satane ke liye,
Koi rooth jata h fir maan jane ke liye,
Rishte nibhana koi muskil to nahi,
Bas dilo me pyar chahiye use nibhane k liye.
Bhagwan ne insan ko kya se kya bana diya,
Kisi ko kavi to kisi ko katil bana diya,
Do phoolon ka wajan na utha sakti thi Mumtaz,
Shah Jahan ne uske liye tajmahal bana diya...