Dil Ka Phool Khila Do,
Man Ki Galiya Mahka Do,
Aayega Aane Wala Jo,
Kuchh Usko Naya Naya Do,
Fir Aage Pichhe Padhna,
Filhaal Use Rutba Do,
Hai Agar Jitna Usko,
Nolakha Haar Pahna Do,
Pana Ho Agar Mohabbat,
Aansu Ki Nadi Baha Do,
Insano Ki Har Khubi,
Bachhe Bachhe Ko Sikha Di Hai…
Aaina kyun na dun ke tamasha kahen jise
aisa kahan se laun ke tujhasa kahen jise
hasarat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
guladasta-e-nigah suveda kahen jise
phunka hai kisane goshe muhabbat mein ae khuda
afasun-e-intazar tamanna kahen jise
sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
wo ek musht-e-khak ke sahara kahen jise
hai chashm-e-tar mein hasarat-e-didar se nihan
shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise
Sayad Tab Ehsas Karogi
Mere Pyar Ki Chaanv Tale,
Jab Gujre Din Yaad Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Aaj Tumhare Man Mein Sansay
Beej Kisi Ne Bhar Dala Hai Ya Mere Hi Kuch Labjo Ne
Dil Ko Gayal Kar Dala Hai
Jis Din Tum Apna Samjhogi
Tab Milne Ki Chah Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Yun To Jeewan Ki Raaho Mein
Kitne Sathi Mile Bichude Hain
Aur Chahe Bhale Hi Kitne
Tere Mere Beech Khade Hain
Antarman Se Main Hu Tera
Ek Din Ye Aabhaas Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Man Ki Baat Nahi Samjhogi
Mrigtrasna Ban Kar Bhatkogi
Mai Baadal Bankar Barsunga
To Bhi Tum Pyasi Tadpogi
Mere Dil Mein Base Prem Ka Jis Din Vishwas Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Mumkin Hai Safar Ho Aasan Ab Sath Bhi Chalkar Dekhein,
Kuchh Tum Bhi Badalkar Dekho Kuchh Hum Bhi Badalkar Dekhen,
Aankhon Mein Koi Chehra Ho Har Pag Pe Ek Pahra Ho,
Jangle Se Chalein Basti Mein Duniya Ko Sambhalkar Dekho,
Do Char Kadam Har Rasta Pahle Ki Tarah Lagta Hai,
Shayad Koi Manjar Badle Kuchh Dur Oh Chalkar Dekhen,
Ab Vakt Bacha Hai Kitna Jo Aur Ladein Duniya Se,
Duniya Ki Nasihat Par Bhi Thoda Sa Amal Karein…
Once In A While
You Are In My Mind
I Think About The Days That We
Had
And I Dream That These Would All
Come Back To Me
If Only You Knew Every Moment In
Time
Nothing Goes On In My Heart
Just Like Your Memories
How I Want Here To Be With You
Once More
You Are Always Gonna Be The One
And You Should Know
How I Wish I Could Have Never Let
You Go
Come Into My Life Again
Oh, Don’t Say No
You Are Always Gonna Be The One
In My Life
So True, I Believe I Can Never Find
Somebody Like You
My First Love…
Most hardest, funniest, unforgetable moments in life
~In exam, when ur pen finishes, and still u want to write blunders
~wen ur task is almost finished on computer, n lite goes out
~In a long que, when ur turn comes, respondent says “Times over, sorry”
~Wen u wake up v.late and u have v.short time to go at school/office. N u just wear that shirt, pant n dress that is in washing machine
~Wen ur friend says b4 test, “yara mujhe kuch nai ata” n he got more marks than u
~Wen u have just few coins in ur pocket, and ur friend says, “kyun jigr! phir aj kia khila raha hai?”
~Wen ur friend says, b4 exam time, jigger ye chapter 1 ghantay se kyun parh raha hai, ye tu sir ne churwa dia tha…..
Kahin Se Koi Khusi Ki Khabar Nahin Aati,
Abtoh Deedar Ki Surat Najar Nahin Aati,
Pet Mein Hain Samandar Ke Khajane Toh Beshumar,
Mohabbat Ki Doulton Wali Lahar Najar Nahin Aati,
Chand Suraj Aate Jaate Thak Ke Chakna Choor Hain,
Jisko Aan Chahiye Tha Wohi Bhar Nahin Aati,
Bahut Dino Se Neend Bhi Nahin Aati Ab Toh,
Bahut Dino Se Zindagi Idhar Nahin Aati,
Kabhi Aa Jaye Dabe Paanv Koi Bahlane,
Roj De Jati Daga Mout Par Nahin Aati…
Raat Bhigi Toh Thake Sahar Ko Yaad Aane Lage
Nind Ke Gaanv Jo Aajad Hain Palkon Ke Tale,
Doctor Khwab Ke Naakhun The Halahal Mein Bujhe
Hasb Mamul Badi Jor Se Hum Chikh Pade,
Jaise Sach Much Ho Badi Neend Mein Us Shokh Ki Yaad
Aisa Seene Mein Bani Baithi Hai Aankhe Meeche,
Maine Samjhaya Ke Suraj Bhi Jhukega Dar Par
Varna Taaron Ki Taraf Muh Kiye Darwaje The,
Kal Jise Raat Ki Gadi Pe Hamin Ne Choda
Woh Toh Aankho Mein Fire Hain Magar Hum Hi Na Fire…
Har Chamakti Kurbat Mein Ek Faasla Dekhu
Kaun Aane Wala Hai, Kiska Raasta Dekhu
Sham Ki Dhundh Hai Ya Udas Mamta Hai
Bhooli Bisri Yaadon Se Foot-Ti Dua Dekhu
Lehar-Lehar Pani Mein Doobta Hua Suraj
Kaun Mujhme Dar Aaya Uth Ke Aaina Dekhu
Lehlhate Mausam Mein Tera Zikr Bahar Jaisa
Shakh-Shakh Per Tere Naam Ko Hra Dekhu
Dua Hai Ke Khusi Mile Tumko,
Bhale Hamein Gham Hi Gham Naseeb Ho,
Tum Bhale Hi Na Ban Saki Hamari,
Bas Teri Yaad Mere Karib Ho,
Khyal Tere Aakar Mujhko Ab Bhi Rula Dete Hain,
Woh Aasiq Aur Honge Jo Pyar Ko Bhula Dete Hain,
Yaad Mein Teri Raat Din Main Asq Piye Ja Raha Hu,
Zindagi Jina Nahin Chahta Tha Par Jiye Ja Raha Hu…
Bhanwara Gulshan Mein Foolo Ka Maja Leta Hai,
Kaliyo Ko Dekhta Hai Intezar Ki Najron Se,
Baharein Toh Aayengi Aura Chali Jayengi Sanam,
Bhanwara Wahin Rahega Jahan Gulshan Hai Uska,
Na Kuchh Hum Samajhe Na Tum Samajhe,
Isq Ho Gaya,
Tumhaare Naseeeb Se Ya Hamaare Naseeb Se,
Mohabbat Ko Chhupane Se Ghabrahat Hoti Hai,
Juba Se Nahi To Najro Se Hi Bayaa Kar Do…
Ye Kaisi Tanhaayi Hai,
Aas Paas Na Koi Saaya Hai Na Parchhayi Hai,
Itna Hai Zindagi Me Sannatta,
Ye Kaisi Khaamoshi Ne Hai Mujhe Kaata,
Na Koi Aarzoo Na Dil Me Koi Tammana,
Kya Ye Akelapan Hi Hai Mere Jeevan Ki Kitaab Ka Aakhiri Panna…
Ye Kaisi Maayusi Hai Chhayi,
Aas Paas Na Koi Saaya Hai Na Parchhayi,
Khwaabo K Parinde Udne Se Pehle Hi Darr Gye,
Kya Mere Khwaab Saans Lene Se Phle Hi Mar Gye…
Na Dil Me Koi Umeed Hai Na Koi Aasha,
Lagta Hai Kabhi Zindagi Me Kya Hai Maine Taraasha…
Ye Kaisi Bebasi Hai Chhayi,
Aas Pass Na Koi Saaya Hai Na Parchhayi,
Hoth Bhi Sil Gaye Hai Mere Chupi Saadh Kar,
Kya Yuhi Jeena Hai Muje Khud Se Haar Kar…
Kaid Hu Iss Tanhaayi Main Najaane Kab Se,
Din Geen-Ne Chhod Diye Hain Maine Ab Se,
Ye Kaisi Hai Tanhaayi Chhayi,
Aas Pass Na Koi Saaya Hai Na Parchhayi…
Barbaad Ho Gaye The Hum Duniya Ne Yun Humko Sataya Tha
Har Ek Mod Pe Hum Girte The Kisi Ne Bhi Na Humko Uthaya Tha
Tab Tune Hi Sanam Ek Umeed Ka Diya Jalaya Tha
Apne Har Ek Gam Ko Chupakar Mujhe Jeena Sikhaya Tha…
Raahon Mein Kon Aa Gaya Kuchh Pata Nahi
Usko Talash Karte Rahe Jo Mila Nahi,
Beaas Khidkiyan Hain Sitare Udas Hain
Aankho Mein Aaj Neend Ka Koshon Pata Nahi,
Main Chup Raha Toh Aur Galat Fahmiyan Badhi
Woh Bhi Suna Hai Usne Jo Maine Kha Nahi,
Man Mein Isi Tarah Hai Bachpan Ki Ek Yaad
Shayad Abhi Kali Ko Hawa Ne Chhua Nahi,
Chehre Par Aansuon Ne Likhi Hai Ek Kahani
Aaina Dekhne Ka Mujhe Hosla Nahi…
Jugnu Koi Sitaron Ki Mehfil Mein Kho Gaya
Itna Na Kar Malaal Jo Hona Tha Ho Gaya
Perverdigar Jaanta Hai Tu, Sabke Dil Ka Haal
Main Jee Na Payunga Jo Use Kuch Bhi Ho Gaya
Ab Usko Dekh Kar Nahi Dhadkega Mera Dil
Kehna Ki Mujhko Ye Bhi Sabak Yaad Ho Gaya
Baadal Utha Tha Sabko Roolane Ke Vaaste
Aanchal Bhigo Gaya Kahin Daaman Bhigo Gaya
Ek Ladki Ek Ladke Ke Kandhe Pe Soyi Thi
Main Ujli Dhundhli Yaadon Ke Kuhre Mein Kho Gaya
Chahe Jitne Sitsamgar Tum Sitam Kar Ke Dekh Lo,
Pyar Se Ek Baar Toh Mujhko Nazabhar Dekh Lo,
Raste Mein Isqbbazi Ke Gujar Kar Dekh Lo,
Anjaameulfat Ko Jammane Mein Najar Bhar Dekh Lo,
Paas Mein Aao Na Toh Bachkar Nikal Ke Dekh Lo,
Pyar Se Nafrat Hai Agar Mahaboob Jalkar Dekh Lo,
Jo Hasan Hota Hai Jamaane Mein Aasik Ka,
Aur Ko Samjha Rahe Kya Khud Samajh Kar Dekh Lo…
Teri Jawani Ke Phool Ko,
Soongh Lene De Sanam Mujhe,
Varna Yeh Yun Hi,
Sookh Jaayega Vaqt Ki Maar Se,
Sookh Jaye Ya Sad Jaaye,
Tujhe Kyu Aa Raha Hai Taras,
Tujhe Sunghne Ka Shok Hai,
Toh Chala Ja Bajar E Gulshan Mein,
Rota Huya Koi Achha Nahi Lagta Sanam
Tu Vidayi Ke Vakt Rote Huye Muskrate Rahna…
Main Tumhaara Hu Parakhkar Dekho,
Zindagi Se Bhari Najar Dekho,
Koun Aisa Hai Jaan Jaoge,
Ek Din Is Gali Gujar Ke Dekho,
Jhuth Sach Ka Hisab Lag Jaaye,
Asliyat Mein Agar Ise Dekho,
Kis Kis Ko Manayega Koi,
Tum Toh Apni Tarah Sanvar Dekho,
Doondhte Firte Ho Galtiyan Sabki,
Are Vaij Tum Apna Ghar Dekho…
Humne Tere Pyar Ki Khatir, Duniya Ko Thukraya Tha,
Saare Jag Ko Chhod Ke Humne Tumko Meet Banaya Tha,
Fir Bhio Sangdil Chhod Ke Tanha, Tune Apne Khan Ko,
Gair Ki Sej Sajayi Tune, Gair Ka Saath Nibhaya Tha,
Tujh Se Hai Na Shikwa, Na Gila Hai Rakibon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se…
Tera Who Pyar Mujhe, Raaton Ko Jagayega,
Tone Mujhe Thukraya Toh, Chain Nahi Aayega,
Hoga Na Ilaaj Mera, Kabhi Bhi Tabijon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se-2…..