Teri Jawani Ke Phool Ko,
Soongh Lene De Sanam Mujhe,
Varna Yeh Yun Hi,
Sookh Jaayega Vaqt Ki Maar Se,
Sookh Jaye Ya Sad Jaaye,
Tujhe Kyu Aa Raha Hai Taras,
Tujhe Sunghne Ka Shok Hai,
Toh Chala Ja Bajar E Gulshan Mein,
Rota Huya Koi Achha Nahi Lagta Sanam
Tu Vidayi Ke Vakt Rote Huye Muskrate Rahna…
Aaina kyun na dun ke tamasha kahen jise
aisa kahan se laun ke tujhasa kahen jise
hasarat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
guladasta-e-nigah suveda kahen jise
phunka hai kisane goshe muhabbat mein ae khuda
afasun-e-intazar tamanna kahen jise
sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
wo ek musht-e-khak ke sahara kahen jise
hai chashm-e-tar mein hasarat-e-didar se nihan
shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise
Raahon Mein Kon Aa Gaya Kuchh Pata Nahi
Usko Talash Karte Rahe Jo Mila Nahi,
Beaas Khidkiyan Hain Sitare Udas Hain
Aankho Mein Aaj Neend Ka Koshon Pata Nahi,
Main Chup Raha Toh Aur Galat Fahmiyan Badhi
Woh Bhi Suna Hai Usne Jo Maine Kha Nahi,
Man Mein Isi Tarah Hai Bachpan Ki Ek Yaad
Shayad Abhi Kali Ko Hawa Ne Chhua Nahi,
Chehre Par Aansuon Ne Likhi Hai Ek Kahani
Aaina Dekhne Ka Mujhe Hosla Nahi…
!Dardnaq Kissa..
1 Aunty Thi Unki 1 ?eti Thi, Wo Uski ?ohat ?are karti Thi..
?aal ?anwarti Thi, Poniyan ?andhti Thi Ta ka ?achi Achi Dikhay, Par ?achi ki Ankhain Humesha ?ahar Rehti Thein, ?ilqul Aisay
(O_O)
Aunty Ny ?ohat ?y Doctors ko Dikhaya Par Wo ?ahi Nahi Hui..
Phir 1 ?aba ko Dikhaya Unho Ny ?achi ko 1 Mint Ma ?ahi kar Dia..
?ub Hayraan Ho Gae k ?e kaisy Theek Hogai, Tou ?aba G Ny ?ataya..
?us ?aychari Ki Poniyaan Dheeli Kar Dein..
Meelon Door Jaakar Bhi Hum Tumse Door Na Jaa Sake,
Dil Mein Kitni Bechaini Hai Yeh Bata Na Sake,
Dard Is Baat Ka Nahi Ke Hum Ab Mil Na Sake,
Dard Is Baat Ka Hai Ke Yaadon Mein Hum Tadpate Rahe,
Kyon Yaad Humein Karte Ho Itna,
Kyon Pyar Humein Karte Ho Itna,
Kyon Aakhir Kyon,
Door Rahkar Ab Tumse Or Jee Na Sakenge,
Gham Se In Aankhon Ke Ashq Ko Ab Bahne Denge,
Kya Pata Kal Tumhe Hum Par Taras Aa Jaaye,
Umarbhar Is Aash Mein Hum Jee Hi Lenge….
Humne Tere Pyar Ki Khatir, Duniya Ko Thukraya Tha,
Saare Jag Ko Chhod Ke Humne Tumko Meet Banaya Tha,
Fir Bhio Sangdil Chhod Ke Tanha, Tune Apne Khan Ko,
Gair Ki Sej Sajayi Tune, Gair Ka Saath Nibhaya Tha,
Tujh Se Hai Na Shikwa, Na Gila Hai Rakibon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se…
Tera Who Pyar Mujhe, Raaton Ko Jagayega,
Tone Mujhe Thukraya Toh, Chain Nahi Aayega,
Hoga Na Ilaaj Mera, Kabhi Bhi Tabijon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se-2…..
Do Bhatkati Huyi Roohein Jaise Mili,
Yun Mili Woh Nigahein Magar Khouf Hai,
Jist Hai Raat Mein Jangalon Ka Safar,
Is Janam Mein Bhi Hum Kho Na Jaayein Kahin,
Roshni Ke Naseeb Mein Neendein Kahan,
Chaand Mein Taak Par Woh Sajayein Kahan,
Hum Chirag E Wafa Jalna Hai Raat Bhar,
Aasman Doudbhag Mein Woh Jalayein Kahin,
Minar Ke Jaise Shohratein Hamein,
Aasmaa Ki Taraf Le Chali Hain Magar,
Ji Mein Hai Sabj Paigambron Ki Tarah,
Seena E Sang Se Sar Uthayen Kahin…
Rafta Rafta Zindgani Ka Safar,
Zindagi Bhar Tanha Sooni Rahgujar,
Dekhiye Kab Talak Chale Yeh Silsila Bhi,
Ab Nahin Aana Hai Woh Ronak Magar,
Kisi Ko Apna Banana Bhi Jaruri,
Kisi Ke Dar Mein Bheege Najar,
Mout Ke Din Kis Ke Darwaje Mrenge,
Chahiye Hai Aadmi Ko Apna Ghar,
Safar Chahat Ka Nahin Hai Baaki Koi,
Nahi Ab Toh Raha Kuchh Khone Ka Dar…
Mitti Ke Khilone Hain Yeh Tutenge Toh Jarur,
Kudrat Ki Bandishen Hain Nahin Kisi Ka Kasoor,
Is Aasmaan Ke Neeche Kya Kya Bicha Hua Hai,
Kuchh Sajavat Pass Mein Kuchh Basahat Door,
Safar Sadiyo Ke Chalenge Lakh Roke Hastiyaa,
Badi Lambi Rahgujar Hai Vakt Thak Kar Choor,
Aadmi Ki Asliyat Se Khuda Bhi Anjaan Hai,
Kabhi Toh Ahi Buland Maksad Kabhi Hai Majbur,
Aa Ka Sach Dekhna Hai Kal Ki Baatein Chhodiye,
Jaani Dushman Aaj Kal Tak Tha Najar Ka Noor…
Sad Shayari
Hogi Kabhi To Ek Din Khushiyaan Mere Saath,
Ye Soch Ke Main Sab Gham Bhulata Chala Gaya,
Sara Jahaan Hai Mera Or Main Hu Iss Jahaan Ka,
Bas Dil Se Dil Sabhi Ka Milataa Chala Gaya,
Ye Shaam Jo Dhali To Savera Bhi Aayega,
Ye Soch Ke Main Khushiyaan Manaata Chala Gaya,
Kudrat Ne Kya Dikhayaa Karaamat Zindgi Mein,
Aashiq Banaa Ke Mujh Ko Rulaata Chala Gaya,
Chala Tha Bataane Ko Daastaan Zindgi Ki,
Koi Ro-Ro K Apne Halaat Sunaata Chala Gaya,
Maykhaane Ja Ke Dekhe Rote Hue Logo Ko,
Hans-Hans Ke Yahi Baat Batataa Chalaa Gaya,
Mehfil Bhi Ajnabi Thi Har Sakhs Ki Tarah,
Ye Soch Ke Main Khud Ko Hansaata Chala Gaya…
Tha Main Neend Mein Aur Mujhe Itna Sajaya Jaa Raha Tha,
Badhe Hi Pyaar Se Mujhe Nehlaya Jaa Raha Tha,
Najaane Tha Woh Kaunsa Ajeeb Khel Mere Ghar Mein,
Bachon Ki Tarha Mujhe Kandhe Pe Uthaya Jaa Raha Tha,
Tha Paas Mere Mera Har Apna Uss Waqt,
Phir Bhi Mai Har Kisi K Mooh Se Bulaya Jaa Raha Tha.
Jo Kabhi Dekhte Bhi Na The Mohabbat Ki Nigahon Se,
Un Ke Dil Se Bhi Pyaar Mujh Pe Lutaya Ja Raha Tha,
Maloom Nahi Hairaan Tha Har Koi Mujhe Sote Hue Dekh Kar,
Zor Zor Se Ro Kar Mujhe Hasaya Ja Raha Tha,
Kaanp Uthi Meri Rooh Mera Wo Makaan Dekh Kar,
Pata Chala Mujhe Dafnaya Ja Raha Tha,
Ro Pada Phir Mai Bhi Mera Wo Manzar Dekh Kar ,
Jahan Mujhe Hamesha Ke Liye Sulaya Jaa Raha Tha,
Tha Main Neend Mein Aur Mujhe Itna Sajaya Jaa Raha Tha,
Badhe Hi Pyaar Se Mujhe Nehlaya Jaa Raha Tha…
Badi Muskil Se Bana Hu,
Toot Jaane Ke Baad,
Main Aaj Bhi Ro Deta Hu,
Muskurane Ke Baad,
Tujh Se Mohabbat Thi,
Mujhe Beinteha Magar,
Aksar Yeh Ahsaas Huva,
Tere Jaane Ke Baad,
Ab Tak Doond Raha Hun Main,
Apne Andar Ke Us Sakhs Ko,
Jo Najar Se Kho Gaya,
Hai Najar Aane Ke Baad…
Log Toot Jate Hain Ek Ghar Banane Mein
Tum Taras Nahin Khate Bastiyan Jalane Mein,
Aur Jaam Tutenge Is Sharabkhane Mein
Mousam Ke Aane Mein Mousam Ke Jaane Mein,
Har Dadkate Pathar Ko Log Dil Samjhte Hain
Umar Beet Jati Hai Dil Ko Dil Banane Mein,
Fakhta Ki Majboori Yeh Bhi Kah Nahi Sakti
Koun Saanp Rakhta Hai Uske Aashiyane Mein,
Doosri Koi Ladki Zindagi Mein Aayegi
Kitani Der Lagti Hai Usko Bhol Jaane Mein…
Inhe Gira Do Khatarnak Hain Yeh,
Dallan Purane Huye,
Kunba Rakhna Theek Nahin,
Ki Daldal Huye Muhane Hain,
Upar Ki Sab Chamak Dhamak Hai,
Andar Se Hai Sade Gale,
Sadiyo Pahle Ke,
Bagiche Marghat Ke Virane Hain,
Kahne Do Jo Kahte Hain,
Sab Tum Jaano Apni Dikkat,
Batuni Humdard Purane,
Sab Jaane Pahchane Hain..
Aaj-Kal Mujhe Kuch Aisa Lagne Laga Hai,
Ki Mausam Bhi Ab Kuch Rangeen Lagne Laga Hai,
U To Bahti Hawa Bhi Ab Gaane Lagi Hai
Ghajab Ye Hai Ki ’Sehra’ Bhi Khilne Laga Hai
Mujhe Neend Aati Nahi Ab Magar
Mera Dil To Ab Gaane-Hasne Laga Hai
Kahne Ko Sab Kuch Wahi Ka Wahi Hai
Par Mujhe Har Ik Zarra Naya Lagne Hai
Mehfil Me Jab Ham, Kuch Gumsum Se Baithe
Dosto Ne Bhi Poocha Ki Tujhe Kya Hua Hai
Ab Kya Me Kahta, Or Ab Kya Unki Sunta
Kaise Batau Ki Mujhe Kya Hua Hai
Kitane Badal Gaye Yeh Mohabbat Ke Subah Sham,
Tumhara Khyal Bhi Aata Hai Kabhi Kabhi,
Aisa Lagta Hai Ke Varso Beet Gaye Ho Tumhe,
Bhale Tum Mil Ke Gaye Ho Hamein Abhi Abhi,
Khuda Salamat Rakhe Mere Mahboob Ko,
Jiska Naam Lekar Hum Jiye Jaate Hain,
Uska Har Gham Har Taklif Apnakar,
Tamam Umar Uske Hi Naam Kiya Jaate Hain…
Aye Khuda Meri Shaayri Me Wo Asar Karde
Main Bewafa Hi Sahi Aashiqon Me Mera Naam Amar Karde
Kuch Karde Aisa Ki Asar Ho Jaaye Meri Duaaon Me
Ke Mera Gunaah Chupp Jaye Meri Hi Wafaaon Me
Tu Chheen Le Chaahe To Meri Kismat Se Har Phool Magar
Kabhi Koi Kaanta Na Aaye Mere Mehboob Ki Raahon Me
Meri Kismat Me Tu Likhde Chaahe Laakh Aansoo..
Magar Kabhi Koi Aansu Na Dena Mere Pyaar Ki Nigaahon Me
Kar Kabool Fariyaad Karta Hai Rajan Teri Panaahon Me
Dam Nikle To Nikle Koi Gamm Nahi, Bass Nikle Mere Yaar Ki Baahon Me
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein
Ki Meri Najar Ko Khabar Na Ho,
Mujhe Ek Raat Navaj De
Magar Uske Baad Subah Na Ho,
Woh Bada Raham O Karam Hai
Mujhe Yeh Asar Bhi Daan Karein,
Tujhe Bhulane Ki Dua Karun
Toh Meri Dua Mein Asar Na Ho,
Mere Baajuon Mein Thaki Thaki
Abhi Khwab Dekh Rahi Hai Chandani,
Na Uthe Sitaron Ki Palki
Abhi Aahton Ka Gujar Na Ho…
Bazaron Ki Chahal Pahal Se Roshan Hai
In Aankhon Mein Mandir Jaisi Sham Kahan,
Main Usko Pahchan Nahi Paya Toh Kya
Yaad Use Bhi Aaya Mera Naam Kahan,
Din Bhar Suraj Kiska Pichha Karta Hai
Roj Pahadi Par Jati Hai Sham Kahan,
Logo Ko Suraj Ka Dhoka Hota Hai
Aansu Bankar Chamka Mera Naam Kahan,
Dalano Ki Dhoop Chhaton Ki Sham Kahan
Ghar Ke Bahar Ghar Jaisa Aaram Kahan…
Woh Jamana Gujar Gaya Kab Ka,
Tha Jo Deevana Mar Gaya Kab Ka,
Dhundhta Tha Jo Ek Nayi Duniya,
Lotke Apne Ghar Gaya Kab Ka,
Woh Jo Laya Tha Humko Dariya Tak,
Par Akele Utar Gaya Kab Ka,
Uska Jo Haal Hai Wohi Jaane,
Apna Toh Jakham Bhar Gaya Kab Ka,
Khwab Dar Khwab Tha Jo Tana Bana,
Ab Kahan Hai Bikhar Gaya Kab Ka…