Kabar me dafnaate hi,
Sare rishte tut jate h
Chand dino mein apne
Apno ko bhul jate h
Koyi nahi rota umar
Bhar kisi ke liye
Waqt ke sath aansu
Bhi sukh jate hain
Mohabbat aankho se nikle ashko ko moti bana deti h
Mohabbat gehre zakhmo par b marham laga deti hai,
Jab jeene ki koi bhi vajah hi naa bachi ho,
Tab Mohabbat maut ko bhi zindagi bana deti hain
कौन :person_frowning_tone1:समझता है:cold_sweat: इस दिल:revolving_hearts: की तडप को, यहॉ तो खुद :person_with_pouting_face_tone1:का दिल:revolving_hearts: भी किसी ओर:information_desk_person_tone1::man_in_tuxedo: के लिये धडकता :heartbeat:है
Har Naye Mod Par Sham Ho Jati Hai,
Zindgi Pyar Me Badnam Ho Jati Hai,
Kaise Dekhu Mai Kal Ke Sapne,
Meri To Har Khusi,
Poori Hone Se Pehle Nilam Ho Jati Hai.!
Kabhi Yaad Aaye To Pochna,
Zara Apni Kahlwat-E-Sham Se,
Kise Ishq Tha Teri Zaat Se,
Kise Pyar Tha Tere Naam Se,
Zara Yaad Karo Ke Wo Koun Tha,
Jo Kabhi Tujhe Bhi Azeez Tha,
Wo Jo Je Utha Tere Naam Se,
Wo Jo Mar Mita Tere Naam Pay,
Yehi Wafaoon Ka Hai Sila,
Magar Aisa Juram Tha Kon Sa,
Gay Hum Dua-O-Salam Se,
Na Kabhi Visal Ki Chah Ki,
Na Kabhi Firaaq Mai Aah Ki,
Mera Tareeqa-E-Bandagi,
Hai Juda Tareeqa-E-Aam Se…
Darguzar Uski Har Khata Kar Di Humne
Uske Haq Mein Aaj Phir Dua Kar Di Humne
Ek Lamha Bhi Nahi Laga Khone Mein
Jisko Pane Mein Sari Zindagi Gujar Di Humne
Ye Na Socho Ke Faqat Naam Liya Karta Hai
Ek Deewana Teri Chahat Mein Jiya Karta Hai
Wo Jaanta Hai Ke Tu Us Ke Muqaddar Mein Nahi
Phir Bhi Har Roz Tujhe Yaad Kiya Karta Hai
Kabhi Jajbat To Kabhi Yadon Ka Jikar Kiya Karte Hai ,
Kabhi Aansu To Kabhi Dard Ko Piya Karte Hai ,
Hain Hum Aap Ke Tabhi To Aap Ko,
Miss Kiya Karte Hain…
Humne Unhe Pa Kar Kabhi Khona Nahi Chaha
Judai Mein Unki Kabhi Rona Nahi Chaha
Unhone Humare Pyar Ko Na Sambhala Kabhi
Phir Bhi Humne Kisi Aur Ka Hona Nahi Chaha…
Ye Jhuth Hai Ki Mujhe Pyar Kiya Hai Tune
Per Zindgi Ko Meri Barbaad Kiya Hai Tune
Main Bada Chaahne Wala Tha Tera
Dhokha Jise Sare Bazaar Diya Hai Tune…
Us Chandni Raat Mein Achanak Huyi Barsat Buri Lagi
Dil Mein Dard Hua To Har Baat Buri Lagi
Vo Humse Na Mile To Koi Gam Nahi
Par Unki Gairon Se Mulakat Buri Lagi
Wo Kafan Tha Jo Daaman-E-Yaar Bana Firta Tha,
Mera Beham Mere Andar Aeitbaar Bana Firta Tha,
Kuchh Dikha Nahi Zamane Mein Siwaye Nafrat Ke,
Ek Main Hi Tha Jo Dilo Mein Pyar Bana Firta Tha…
Dil:heart: Ka Dard Chhupana Kitna Mushkil Hai, Toot Kar Fir Muskurana:blush: Kitna Mushkil Hai, Door Tak Jab Chalo Kisi Ke Sath:couple: Mein Fir Tanha Laut Ke Aana:walking: Kitna Mushkil Hai.
Is Se Pahle Ki Saare Khwab Toot Jaayein ,
Aur Yeh Zindagi Hum Se Rooth Jaaye,
Ek Doosre Ke Pyar Mein Kho Jaayein Iss Kadar ,
Ke Hum Saare Ghamon Ko Bhool Jaayein….
Love Shayari - Related To: Pyar, Zindagi
Bina Bataye Usne Na Jaane Q Ye Duri Kar Di,
Bichad K Usne Mohabbat Hi Adhuri Kar Di,
Mere Mukaddar Me Gum Aye To Kya Hua,
Khuda Ne Uski Khwaish To Puri Kar Di…
Gam k sager mein kabhi dub na jana,
Raho pe chalke manzil na pao to tut na jana,
Zindgi mein agar kuch dukh mehsus ho to,
Hum zinda hai ye bhul na jana.