Zindagi Ke Tufano Ka Sahil H Teri Dosti,
Dil Ke Armaano Ki Manzil H Teri Dosti,
Zindagi Bhi Ban Jayegi Apni To Jannat,
Agar Maut Aane Tak Sath De Teri Dosti.
Doston ko bhul ne walo mein se hum nahi,
Sath chod ne walo mein se hum nahi,
Ye dosti to hum umar bhar nibhayenge,
Kyuki wada todne walo mein se hum nahi.
Koi Chand Sitaraa Hai,
Koi Phul Se Pyara Hai.
Koi Khusi Ka Ishara Hai,
Koi Dil Ka Sahara Hai.
Jo Dost dur rehkar bhi Hamara hai,
Wo Naam Sirf Tumhara Hai
Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,
Har nakamyabi ka matlab haar nahi hota.
Toh kya huwa agar hum tume na pasake,
Sirf paane ka matlab pyar nahi hota.
Dosti ki mahek ishq se kam nahi hoti,
Ishq pe hi zindgi khatm nahi hoti,
Agar sath ho zindgi men achche dosto ka,
Zindagi kisi jannat se kam nahi hoti.
Tanha Hu Is Dard Mohabbat Mein;
Meri Tarah Behaal Tum Bhi Ho;
Hum Hai Kisi Ujhde Hue Shahar Ki Misaal;
Aankhen Bata Rahi Hai Ki Viraan Tum Bhi Ho! Hushain2
Maangi thi dua humnein rab se,
Dena mujhe dost jo alag ho sbse,
Usne mila diya hume aapse or kaha
Sambhalo inhe ye anmol hai sab se
Happy Friendship Day
Dosti Main Dooriyan To Aati Rehti Hai,
Phir Bhi Dosti Dilo Ko Mila Deti Hai,
Wo Dosti Hi Kya Jo Naraz Na Ho,
Par Sachi Dosti To Dosto Ko Mana Leti Hai.
Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai,
K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai,
Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon?
Gali Kochon Mein sannata bohut Hai,
Na milne Ki qasam Kha K Bhi Main Ne,
Tujhe Har Raah Mein dhunda bohut Hai,
Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,
Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bohut Hai,
Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,
Shayid mujhe Rona bohut hai,
Tujhe maloom To hoga mere humdum,
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bohut hai.!
बेशक थोड़ा इंतजार मिला हमको,
पर दुनिया का सबसे हसीं यार मिला हमको,
न रही तमन्ना अब किसी जन्नत की,
तेरी दोस्ती में वो प्यार मिला हमको..
Happy Friendship Day