Chand Se Jab Mulaqat Hoti Hai,
Aapke Baare Mein Kuch Baat Hoti Hai,
Wo Kehte Hai Mere Pass Kuch Khoobsurat Sitare Hai,
Aur Hum Kehte Hai Unse Bhi Acche Kuch Dost Humare Hai.
Dosti Tuti To Zindgi Bikhar Jayegi...
Ye Koi Zulf Nahi Jo Har Bar Sawar Jayegi.
Tham Lo Daman Uska Jo Tumhe Khushi De...
Warna Rote-rote Zindgi Guzar Jayegi.
Dosti to zindagi ka ek khubsurat lamha hai..
Ye sab rishto se albela hai..
Jise mil jaye wo tanhai main bhi khush hai..
Jise na mile wo bheed main bhi akelahai..
Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum Log
Lamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum Log
Tu Zehr Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi
Jeene Ke Bahaane Dhondhte Hain HumLog…
Kuch Waqt Pehle Muje B Zindagi Ne Azmaya Tha,
Uss Dost K Sath Maine B Hasta Hua Pal Bitaya Tha,
Rota Hua Chhodgye To Kya Hua,
Hasna B To Unhi Ne Sikhaya Tha.
Tere Dosti Tere Bafa He Made Ha..
Tmaam Umar Ye Aasra He Kafe Ha.
Janha Khi Bhi Milo...
Mil K Muskura Dena....
Mere Jeene K Liye Tere Ye Adds He Kafe Ha....
Dosto Ke Bina Zindagi Veeran Hoti Hai,
Akele Sabhi Raah Sunsaan Hoti Hai,
Ek Saccha Dost Ka Hona Bhi Zaruri Hai,
Kyuki Dost Se Hi Har Muskil Aasan Hoti Hai.
Hum Khud Ko Bhool Jaye To Bhi Koi Gam Nahi,
Aapko Agar Jo Bhool Jaye To Woh Hum Nahi,
Chahte Hai Hum Dosto Ko Apni Jaan Se Bhi Jyada,
Unke Liye Apni Saanse Bhi Tham Jaye To Koi Gam Nahi.
Andhere me tumhare haath ka chiraag hun
Tufanon me tumhare kashti ka sahil hun
Ae tanha dil tu kuch bhi kar le
Lekin main hamesha tere dil ke paas hun.
zamane ka ye dastoor kaisa,
pyar ko pana ye kasoor kaisa,
agar mohabbat gunah he
zamane me
to fir insano ko mohabbat
sikhane wala wo khuda be kasoor kaisa, —
Ik Dosti Nibhani Sikhi Yaara
Is Daulat Ko Na U Gawaenge
Rooth Jaenge Tere Saare Dost
Kabhi Loveleen Ko Na Sang Apne Paenge
Kar Shak Na Humpe Itna Tu
Hum Roothe To Rab Bhi Na Mana Paenge …