Dosti kabhi musibat nahi hoti bin chahat khwaish puri nahi hoti
apni zindagi me hamari mojudgi ko bevazah na samjhna,
q k palke ankho par kabhi boz nhi hoti.
Hum Bhi Bane Hain Shayar Hoke Ishk Me Nakam,
Humne Bhi Kiya Hai Naam Hoke Ishk Me Badnaam,
Pyar Me Unke Hame Do Niyamate Mili,
Ek Hath Me Kalam Hai Duje Hath Me Hai
Jaam…………
Humne Pucha Kaise Ho Jwab Na Aaya,
Iss Berukhi Se Humara Dil Bhar Aaya,
Socha Galti Kiski Hai To Ye Khyal Aaya,
Shayad Ye Nachij Dost Kisi Ko Pasand Hi Nahi Aaya.
Din Beet Jate Hai Suhani Yaad De Kar
Baate Reh Jaati Hai Kahani Bankar
Par Dost To Hamesha Dil Ke Karib Rahenge
Kabhi Muskaan Bankar To Kabhi Aankho Ka Paani Bankar.
Doston Ki Dost Hi Jaan Lene Lage Hain.
Ab To Vafa Mein Bhi Imtahan Hone Lage Hain.
Kho Gayi Tahazeeb-Insani Insanon Se,
Insaniyat Bhi Insan Khone Lage Hain.
Kal Tak Thi Chhoone Se Nafarat Jinhen,
Wo Bhi Munh Sharab Se Dhone Lage Hain.
Doston Ki Dost…. Bharosa Uth Gaya Insan Ka Insan
Se,
Bete Bhi Zamanat Baap Se Lene Lage Hain.
Farz Bacha Hi Nahin Is Jahan Mein Koi,
Nauker Ke Bhi Malik Pe Ehasan Hone Lage Hain.
Zindagi Mein Bahut Kuchh Khoya Hai Humne,
Ab Kuchh Paane Ki Tamanna Hai Eh Dost,
Aap Hum Se Dil Lagayein Ya Na Lagayein,
Aapko Apna Banane Ki Tamanna Hai Eh Dost…
Manzil milne se dosti bhulayi nahi jati,
Humsafar milne se dosti mitayi nahi jati,
Dost ki kami har pal rehati hai yaar,
Duriyo se dosti chupayi nhi jati...
Dosti Mai Dil Ka Tamasa Dekha Nahi Jata,
Humse Tuta Hua Sisa Dekha Nahi Jata.
Apne Hisse Ki Sari Khusiya Lutadu Tumper,
Humse Tera Utra Hua Chehara Dekha Nahi Jata.
Manzil Na Rahi Koi Thikana Bhi Nahi Hai
Wapis Mujhe Ghar Loat Ke Jana Bhi Nahi Hai
Main Ne He Sikhaai Thi Jissay Teer Andazi
Ab Mere Siva Uska Koi Nishana Bhi Nahi Hai…
Aasmaan Se Utaari Hai, Taaro Se Sajaai Hai,
Chaand Ki Chaandni Se Nahaai Hai,
Mere Dost! Sambhaal Ke Rakhna Ye Dost
Ye Meri Jindagee Bhar Ki Kamaai Hai.