Do Dilo Ki Dhadkano Mein Ek
Saaz Hota Hai, Sab Ko Apni
Apni Mohobbat Pe Naaz Hota
Hai, Us Mein Se Har Ek Bewafa
Nahi Hota, Us Ki Bewafai Ke
Peeche Bhi Koi Raaz Hota Hai.
~~~ Ishq aur dosti meri jindagi ka guman hai,
~~~ Ishq meri rooh hai to dosti mera imaan hai,
~~~ Ishq pe kardu fida saari zindagi,
~~~ Magar dosti pe mera ishq kurban hai.~~~
~~^~~ Snehan ~~^~~
Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete H,
Har Naye Mod Par Ek Zakhm Naya Dete H,
Tum Se To Khair Ghadi Bhar Ki Mulakat Rhi,
Log Barson Ki Rafakat Ko Bhula Dete H,
Kaise Mumkin Hai Ke Dhuwan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jale,
*** Padti H To Patthar Bhi Sada Dete H,
Kaun Hota H Musibat Mein Kisika Aye Sanam,
Aag Lagti H To Patte Bhi Hawa Dete H,
Jinpe Hota H Bahut Dilka Bharosa Jane Kyon,
WaQt Padne Pe Wohi Log Daga Dete H...
Rang Dikhati Hai Yeh Zindagi Kitne
Gaer Bhi Ho Jaate Hai Ikk Pal Mein Apne
Na Jana Kabhi Sapno Ki Duniyaa Mien
Toot Jata Hai Dil, Toot Te HainJab Sapne…
Phoolon Ki Waadi Mein Ho Basera Tera,
Sitaro Ke Aangan Mein Ho Ek Ghar Tera,
Dua Hai Ek Dost Ki Ek Dost Ke Liye,
Ki Mujhse Bhi Khoobsurat Naseeb Ho Tera.
Dil Main Jagah di toh Dil Tod Gaye,
Bepanah Mohabbat ki toh Bewafai kar Gaye,
Taras Na Aaya Unhe Hamari Wafaon pe,
Isliye Tadapne ke liye Tanha Chhod Gaye.
किस हद तक जाना है ये कौन जानता है,
किस मंजिल को पाना है ये कौन जानता है,
दोस्ती के दो पल जी भर के जी लो,
किस रोज़ बिछड जाना है ये कौन जानता है
Happy Friendship Day
Chraghon Se Agar Door Ho Jaate Andhere,
To Chand Ki Chahat Kisi Ko Na Hoti,
Kaat Sakta Agar Koi Akele Ye Zindagi,
To Girlfriend Ki Koi Zarurat Nahi Hoti.
Aap Yaad Nahi Karte Hum Bhula Nahi Sakte,
Aap Hansa Nahi Sakte Hum Rula Nahi Sakte,
Dosti Kitni Khubsurat Hai Humari,
Aap Bata Nahi Sakte Hum Jata Nahi Sakte.
Wo Dosto Ki Mehfil, Vo Muskrate Pal,
Dil Se Judda Nhi Apna Beeta Hua Kal,
Kabhi Zindagi Guzrti Thi Waqt Bitane Mein,
Aaj Waqt Guzra Hai Zindagi Bitane Mein.
Uski khushi me hm hse, uske gum me hum roye..apne dost ki khatir raat bhr jo na soye,, parent se bhana lgaya,sale ko ldki b patvaya..yaro ki yaari me aake pure jhan ko thukraya..