Pyaar ke ujaale me gam ka andhera aata kyon hai,
Jisko ham chaahe wahi roolata kyon hai,
Agar wo mera naseeb nahi,
To khuda aise logo se milata kyon hai?
Swee2
Had-e-inteha se bohat aage tumhe chaha hai,
Hum ne wafa se bohat aage tumhe chaha hai,
Jahan se lout aane ka rasta nahi melta,
Us raah se aage tumhe chaha hai,
Jin ki nigah mein Mohabat gunah-e-azeem hai,
Hum ne us gunah sa bohat aage tumhe chaha hai,
Mohabaton mein harf-ba-harf mujhe mangna nahi aata,
Mein ne aadab-e-dua sa bohat aage tumhe chaha hai
Shamim-e-zulf-e-yar aaye na aaye
mere dil ko qarar aaye na aaye
abhi aaya hai hosh yad-e-janan
na tadapa, bar-bar aaye na aaye
chirag-e-zindagani bujh raha hai
wo jan-e-intazar aaye na aaye
kiya jo tum ne apne dil se pucho
hamara aitabar aaye na aaye
nigah-e-ahal-e-gulshan kah rahi hai
khizan jaye bahar aaye na aaye
badhega karavan manzil-ba-manzil
gubar-e-rahguzar aaye na aaye
Sham Suraj Ko Dhalna Sikhati
Hai.. Shama Parwaane Ko Jalna
Sikhati Hai.. Girne Waale Ko
Hoti To Hai Taqleef.. Par Thokar
Insaan Ko Chalna Sikhati Hai..!
jada-e-fan mein bade sakht muqam aate hain
mar ke rah jata hai fanakar amar hone tak
kitne galib the jo paida huye aur mar bhi gaye
qadradann ko takhallus ki khabar hone tak
kitne iqabal rah-e-fikr mein uthe lekin
rasta bhool gaye khatm-e-safar hone tak
kitne shabbir hasan khan na bane josh kabhi
mar gaye kitne sikander bhi jigar hone tak
faiz rang bhi ashar mein aa sakata tha
ungaliyan sath to den khoon mein tar hone tak
chand zarron hi ko milati hai ziya-e-khurshid
chand tare hi chamakate hain sahar hone tak
dil-e-shayar pe kuch aisi hi guzarati hai ‘figar’
jo kisi qatre pe guzri hai guhar hone tak
Tumse dosti karne ka hisab na aaya
Mere kisi bhi sawal ka jawab na aaya.
Hum to jagte rahe tumhari hi khayalome
Or tumhe so kar bhi hamara khawab na aaya…
Kisi Na Kisi Pe Kisi Ko Aitabar Ho Jata Hai,
Ajnabi Koi Shaks Yaar Ho Jata Hai,
Khubiyon Se Nahi Hoti Mohabbat Sadaa,
Khamiyon Se Bhi Aksar Pyar Ho Jata Hai..
Har mod par nayi shuruwat ho sakti hai,
Dur reh kar bhi baat ho sakti hai,
Mana k aapse dur hai bahut lekin,
Aankhe band karlo to mulakat ho sakti hai…..
Tufan me khasti ko kinare bhi milte hai
jahan me logon ko sahare bhi milte hai
Duniya me sabse pyari hai zindagi
kuch log zindagi se bhi pyare milte hai…
Mere sapno ka mahal ease gira hai,
jease taas ke patto ka ghar gira hai,
dasti hai mujhako meri tanhaiya,
mera saya bhi meri nakami se ghira hai,
pyas thi mujhako bas ek bund ki,
fir kyu meri aankho me samundar bhara hai.
Kabhi hasata hai pyaar,
Kabhi rulata hai pyaar,
Har pal ki yaad dilata hai yeh pyaar,
Chaho ya na chaho,
Par aapke hone ka ehsaas dilata hai yeh pyaar.