Bus Iss Khayaal Se Zinda Hain , Tu Humara Hai
Jo Tu Raha Na Tow Kuch Nahi Rahay Ga Jeenay
Main
Meray Watan!!! Tujhay Kaisay Yeh Dhoop Chatay Gi
Hazaar Maa’on K Anchal Hain Teray Seenay Main
Teri Ankho Ki Gehraai Me
Is Tarah Se Doob Jana Hai
Kya Bataye Ki Mera Dil
Tera Kitna Bada Deewana Hai
Tu Haan Kar Ya Na Kar
Mujhe Is Baat Se Na Pachtana Hai
Bas
Tere Chehre Ko Hi Khwabo Me Lekar
Is Adhoori Dunia Se Chale Jana Hai..!
Dil Ke Zhakhmo Ko Unse Chupana Pada,
Palke Bhigi Thi Par Muskurana Pada,
Kaise Ulte Hain Mobhabbat Ke Ye Riwaz?
Ruthna Chahte Thae Par Unko Manana Pada…
Zindgi Rahe Na Rahe Dosti Rahegi,
Pyar Rahe Na Rahe Yaaden Rahengi,
Apni Zindgi Me Hamesha Haste Rahena,
Kyun Ke Aapki Hasi
Me Ek Muskurahat Meri Bhi Rahegi.
Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte
Hai, Har Khwab Me Tera Didar
Kiya Karte Hai, Diwane Hi To Hai
Hum Tere, Jo Har Waqt Tere
Milne Ka Intzaar Kiya Karte Hai.
Jab se aapko jana hai,
Jab se aap sa dost paya hai,
Har dua me aap ka naam aaya hai,
Dil karata hai punchu us rab se ke,
Kya itna pyara dost sirf mere liye banaya hai….
Phir tarap uthi Dil-e-aseer ki
Jism nahi na Aah zameer ki
Gharq-e-dariya jo na ho paaya
Zeest pe thehri nok shamsheer ki
Rabt-e-Naseeb ka kiya kijiye
Kiya daad-e-kamaal-e-lakeer ki
Khuwab ko khuwab rehne do
Dekhein aagahee kiya taaibeer ki
Qeid kare kabhi aazaad mujhe
‘Faisal’
Kamzoor hai bandish zanjeer ki
वो सो जाते है अकसर हमें याद किए बगैर ।
हमें नींद नहीं आती उनसे बात किए बगैर ।
कसूर उनका नहीं कसूर तो हमारा है ।
क्योंकि उन्हें चाहा भी तो उनकी ईजाजत लिए बगैर ।
hazar gardish-e-sham-o-sahar se guzaren hain
wo qafile jo teri rahguzar se guzaren hain
abhi havas ko mayyassar nahi dilon ka gudaz
abhi ye log muqam-e-nazar se guzaren hain
har ek naqsh pe tha tere naqsh-e-pa ka guman
qadam qadam pe teri rahguzar se guzaren hain
na jane kon si manzil pe ja ke ruk jayen
nazar ke qafile divar-o-dar se guzaren hain
kuch aur phail gain dard ke kathin rahen
gam-e-firaq ke mare jidhar se guzaren hain
jahan surur mayyassar tha jam-o-mai ke bagair
wo maikade bhi hamari nazar se guzaren hain
Meri duaa hai ki khush raho tum
Mile naa koi gum jahan bhi raho tum
.
Samundar ki tarha dil hai gehra tumhara
Khushiyon se bhara rahe daman tumhara
.
Tum jo kaho woh har khawaish puri ho tumhari
Khuda se bhi bus yahi dua hai humari
.
Tohfa kya doon tumhe duaao ke siwa
Ki khuda humesha rahe razi tumse sada.
Pyar Me Bewafai Mile ToGum
Na Karna Apni Aankhe Kisi Ke
Liye Num Na Karna Wo Chahe
Laakh Nafrat Kare Tumse Par
Tum Apna Pyar Kabhi Uske
Liye Kam Na Karna..
Ye Halat Meri Ho Gayi Tumse
Milne Ke Baad, Zndgi Pyaari
Ho Gayi Tumse Milne Ke Baad,
Chehre Pe Ajab Raang Hai
Mohabbat Ka, Har Cheez Pyaari
Ho Gayi Tumse Milne Ke Baad..!
Jis Deen Band Ho Jayegi Hamari Aankhe,
Us Deen Kaie Aankho Me Aasu Aa Jayenge;
Jo Kahete Hai Bahut Bolte Hai Hum
Vahi Hamari Aavaz Sunne Ko Taras Jayenge;