Diwane hai hum Diwana tumhe bhi bana denge
dil me tumare pyaar ki shama jala denge
Raho chahe jitne bhi patthar dil bankar yaado se apni tumhe bhi rula dege.
Sanam tu meri chahat ka ehsas rehne de,
hmesha ki liye nai toh kuch pal apne pass rehne de,
tu mujhe chahti nai pta hai mujhe,
tu meri khushi ke liye jhute pyar ka ehsas rehne de,
kamwaqt is zindagi ka kya pta kab chale jaye duniya se,
sanam ek pal toh apne sath rehne de..
raat aayi hai balaon se rihai degi
ab na divar na zanjir dikhai degi
waqt guzra hai pa mausam nahi badala yaro
aisi gardish hai zamin khud bhi duhai degi
ye dhundalaka sa jo hai us ko ganimat jano
dekhana phir koi surat na sujhai degi
dil jo tutega to ik turfa tamasha hoga
kitne aainon mein ye shaql dikhai degi
sath ke ghar mein bada shor barpa hai ‘anwar’
koi aayega to dastak na sunai degi
Dil aaj udaas hai,
Na jane kya baat hai,
Maa ke aanchal me,
Chup jane ki hasrat aaj hai.
Anjaan jagah me anjaane se log,
Bheed me bi paya hai tanhai ka rog, Kachhue ki tarah samay ki ye chaal,
Apno k saath k bin ye dil hai behal.
Aankhe hai nam hai judai ka gam,
Saanso me basi hai yaadein har dum,
Nigaahe dhundhti hain unka hi aks,
Pyar Lutane wala har apna shaks. Rahul
Pehle Kabhi Ye Yaden Ye Tanhai Na Thi
Kabhi Dil Pe Madhoshi Chayee Na Thi
Jane Kia Asar Ker Gaye Apki Batain
Warna Is Tarah Kabhi Yad Kisi Ki Aye Na Thi
Saari Raat Aankho Ko Ab
Neend Nahi Aati Hai
...
Unki Yaad Ab Harpal Mujhe
Kyu Tadpati Hai
...
Kaise Bhul Jayein Ab Hum
Unki Mithi Yaado Ko,
...
Unki Yaadon Sey Thodi Si
Khushiya Mil Jaati Hai..
Teri yad dil beqarar karti hai,
Nazar talash tujhe bar bar karti hai.
Koi gila nahi agar main door hoon tum se,
Teri tou judai bhi mujh se pyar karti hai.
Leke mazi ko jo hal aaya to dil kanp gaya
jab kabhi unaka khayal aaya to dil kanp gaya
aisa toda tha muhabbat mein kisi ne dil ko
jab kisi shishe mein bal aaya to dil kanp gaya
sar balandi pe to magarur the hum bhi lekin
chadhate suraj pe zaval aaya to dil kanp gaya
badnazar uthane hi vali thi kisi ke janib
apne beti ka khayal aaya to dil kanp gaya
Tum aao to hum bhi EID karen
Hasrat hai tumhari deed karen
Kuch der to dil ko chain mily
Kuch roz to mann k phool khilen
Kehty hain k EID ki aamad hai
Hum log bhi kuch taaeed karen
Tum se ik ye guzarish hai
Ye apny dil ki khwahish hai
Ik bar milo
Ik bar milo
Hr bar ye hi taakeed karen
Maana k hum deewany hain
Sab baaton se anjany hain
Jab apny bhi begany hain,
Kiya ghairon se ummeed krain
Tum aao to hum bhi Eid karen
Tum aao to hum bhi Eid karen.
Yeh Bacha Kaisa Bacha Hay
Jo Rait Pe Tanha Betha Hay
Na Iskay Pait Main Rooti Hay
Na Iskay Tan Per Kapra Hay
Na Iskay Sur Per Toopi Hay
Na Iskay Pair Main Joota Hay
Na Iskay Pas Khiloono Main
Koi Bhaalo Hay Koi Ghoora Hay
Na Iska Dil Behlanay Ko Koi
Loori Hay Koi Jhoola Hay
Na Iski Jaib Main Dhela Hay
Na Iskay Haath Main Paisa Hay
(Koi Tha)
Jo Meri Ankho Pe Marta Tha,
Meri Baton Pe Marta Tha,
Na Janay Shakhs Tha Kesa?
Mujhy Khony Se Darta Tha,
Wo Jab B Bat Karta Tha
Yehi Har Bar Kehta Tha,
Suno.
Agar Me Bhol Jaon To
Agar Me Roth Jaon To
Kabhi Wapis Na Aon To
Bhula Pao Gay Sab Kuch Kia,
Yohi Hanste Raho Gay Kia?
Yohi Sajte Raho Gay Kia?
Yehi Baten Thi Bus Uski,
Yehi Yaden Thin Bus Uski
Muje Malom Hay Bus Itna
“Yaar ”
Muje Wo Piyar Karta Tha!
Muje Khony Se Drta Tha.
Kya Kya Na Saha Tere Pyar
Ke Liye, Tu Bhool Gaye
Mujhe Begaane Yaar Ke Liye,
Bitaaye The Lamhe Saath
Milkar Kbhi, Tareste Hai
Aaj Tere Deedar Ke Liye..!
marane ke duayen q mangun jine ke tamanna kon kare
ye duniya ho ya wo duniya ab khvahish-e-duniya kon kare
jo aag lagai thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne
jo ashkon ke bhadakai hai us aag ko thanda kon kare
jab kashti sabit-o-salib thi, sahil ke tamanna kis ko thi
ab aisi shikasta kashti mein sahil ke tamanna kon kare
duniya ne hamen choda ae dil, hum chod na de kyon duniya ko
duniya ko samajh kar baithe hain ab duniya duniya kon kare
Teri Zindagi Main Khushiya Tamam
Aaye,,,,,,,
Khilti Baharon Pai Bhi Tera Naam
Aaye,,,,,,
Koi Puche Tujse Pyar Kya Hai,,,,,,
To Tere Honto Pe mera Naam Aaye...