Chup rehte hai k koi khafa na ho jaye,
hamse koi rusva na ho jaye,
badi mushkil se koi apna lagne laga hai,
darte hai ki milne se pehle hi koi juda na ho jayeee
Khul K Dil Se Milo To Saza Dete Hai Log;
Sache Jazbo Ko B Thukra Dete Hai Log;
Dekh Nahi Sakte 2 Pyar Karnewalo Ko;
Baithe Hue 2 Parindo Ko Bhi Uda Dete Hai Log...
Khatir se ya lihaz se main man to gaya
jhuthi qasam se aap ka iman to gaya
dil leke muft kahate hain kuch kam ka nahi
ulati shikayaten rahi ehsaan to gaya
ab shay-e-raz-e-ishq go zillaten hui
lekin use jata to diya, jan to gaya
dekha hai butakade mein jo ae shekh kuch na kuch
iman ke to ye hai ki iman to gaya
darta hun dekh kar dil-e-be-arazu ko main
sun-san ghar ye q na ho mehaman to gaya
go namabar se khush na hua par hazar shukr
mujh ko wo mere naam se pehchan to gaya
hosh-o-havas-o-tab-o-tavan “dag” ja chuke
ab hum bhi jane wale hain saman to gaya
Mohabbat Ko Mohabbat Ka Ishara
Yaad Rehta Hai, Har Pyar
Ko Apna Pyar Yaad Rehta Hai,
Jo Pal Guzry Ho Yaar Ki
Bahon Me. Wo Nazara
Marte Dum Tak Yaad Rehta Hai!
Ek Tu Hi Hai Jo Mere Dil Ke Karib Hai,
Teri Dosti Hi Mera Accha Naseeb Hai,
Haare Hai Hum ab Tak apni Zindagi Mein sweet
Tera Hona Hi is Zindagi ki Jeet Hai
आँखों की नमी को लबों की मुस्कान से छिपा लेते हैं हम,
हँसते हँसते अपने दुःख के आंसूं बहा लेते हैं हम,
कोई देख भी नहीं पता हमारे हंसी और दुःख के आंसूं में अंतर,
अपने दुखी जिंदगी को हंसती हुई शक्सियत में छिपा लेते हैं हम.
Toti Hai Meri Neend Magr Tum Ko Is Se Kya
Bujte Rahe Hwaon Se Dar Mgar Tum Ko Is Se Kya
Tum Moj Moj Masle Saba Ghomte Raho
Kat Jayen Meri Soch Ke Par, Tum Ko Is Se Kya
Ek Muhobat Hai or Us ki Ek Nishani Hai
Ek Dil Hai Jese Koi Haweli Purani Hai
Saffar Raat Ka Hai or Raat B Tofani Hai
Samandar Hi Samandar Hai Kashti B Doob Jani Hai
Ibtedae-ishq se Intehae-ishqtak Me Hi Thi Bewaffa or
Mene Hi Waffa Nibhani Hai
Me Laut Aai Hon Manzill Ko Dekh Kar
Udhar To Yaro Veerani Hi Veerani Hai
Ye Intezar Khatam Q Nahi Hota
Kisi Se Pocho ” Aakhir Maut Kab Aani Hai..”
Ishq lamahadud jab tak rahanuma hota nahi
zindagi se zindagi ka haq ada hota nahi
is se bad kar dost koi dusara hota nahi
sab juda ho jayen lekin gham juda hota nahi
bekaran hota nahi be-inteha hota nahi
qatara jab tak bad ke qulzam aashna hota nahi
zindagi ik hadasa hai aur aisa hadasa
maut se bhi khatm jis ka silasila hota nahi