Mohabbt Ki Baat Mat Karo.
Mujhe Accha Nahi Lagta,
Ab Kisi Ki Mohabbat Par Aitbaar Karna.
Mujhe Accha Nahi Lagta :(
Guzar Gaye Jo Din Wo Waapas Laut Kar Nahi Aate...
Lekin Un Dino Ko Yaad Karna Mujhe Accha Nahi Lagta, :((
Mujhe Malum Hai Wo Shaqs Bewafa Thi.
Magar Mujhe Kisi Ko Bewfaa Kehna Acha Nhi Lagta
Jhakhm Bahut Diye Hain Usne Is Dil-e-nadan Ko...
Jakhm Hum Bhi De Dete..
Par Hume Badla Lena Accha Nhi Lagta.
Bhul Sakte Hain Ek Pal Saanse Lena..
G Sakte Hai Dil Ki Dhadkan K Bina...
Par Ye Gustakhi Nahi Kar Sakte Ki.
Hum Jiye Aur Zindgi Kate Apki Yaado K Bina..
Jane waale na jaane kab tera aana hoga
Tere bin mushkil mera jee paana hoga
Tere intezaar me lutaa denge jaan tak
Kyuki idhar bebas dil udhar zalim zamana hoga.
Bhool Jana Yaaro Itna Aasan Nahi Hota,
Jakhmon Ke Nishan Mitana Itna Aasan Nahi Hota,
Jisne Mana Ho Yaar Ko Barabar Rab Ke,
Usko Yun Chhod Jana Aasan Nahi Hota….
Pathhar jaisa kisi ka dil na ho,
bikhre hue sapne kisi ki takdir mei na ho,
koi kisi ko chahe to wo usi ka ho,
warna umarbhar ka intzar kisike nasib mei na ho.
Kya Zindagi Hamari Gali Tak Bhi Aayegi Kabhi,
Yeh Geshuon Ke Phool Yeh Naks E Kadam Ka Chand,
Is Baar Tajurbon Ki Sadayein Najar Par Hain,
Roshan Hua Jayada Tha Pichhle Janam Ka Chand,
Aankh Na Khol Dena Amavas Ki Raat Hai,
Hathon Mein Le Ke Jhooma Karo Jaam E Jam Ka Chand,
Darwaaje Sahar E Dard Ke Khulne Do Doston,
Niklega Muskurata Hua Sham E Gham Ka Chand…
Waqt toh ab hume bhula chuka hain,
Mukaddar bhi kahi hume na bhula de,
Dil se mohabbat hum esliye nahi karte,
Q ki darte h kahi koi fir se hume na rula de
नहीं मालूम तुम्हें के चाहत क्या होती है दर्द-ए-दिल के लिए राहत क्या होती है :heart: टूटेगा जब दिल अपना, मालूम होगा तुम्हें भी के दिल तोड़ने की हिमाकत क्या होती है :broken_heart: नहीं जानते वो भी, चाहत के जिन्होंने दावे किए हद से ज्यादा किसी की चाहत क्या होती है :heart: आशिक बनो हाँ कभी, तुम भी हमारी तरह कोई पता चलेगा तब कहीं के मोहब्बत क्या होती है। :purple_heart:
Thodi Si Toh Akal Seekh Le Tu Bhi Pagal,
Jaane Waale Ko Peechhe Se Bulaya Nahi Karte,
Ban Jaate Hai Naasur Ek Vakt Ke Baad,
Dil Ke Jakhmon Ko Yu Sahlaya Nahi Karte…
Banke ajnabi mile the zindagi ke safar mein kahin,
in yadon ke lamho ko kabhi bhulayenge nahi,
agar yaad rakhna fitrat hai aapki,
to bhool jane ki aadat hamein bhi nahi!!!!k
Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain,
Teri Aankhon Ko Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…
Tumhara Naam Parhne Ki Ijazat Cheen Gai Jab Se,
Koi Bhi Lafz Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain….
Mein Hans Ke Jhail Leta Hun, Judai Ki Sabhi Rasmain,
Galey Jab Us Ke Lagta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…
Na Jane Ho Gaya Hun Is Qadar Hasas Mein Kab Se..?
Kisi Se Baat Karta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…
Wo Sab Guzre Hue Lamhaat Mujh Ko Yaad Aate Hain,
Tumhara Khat Jo Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…
Mein Sara Din Bohat Masroof Rehta Hun Mager Joonhi,
Qadam Chokhat Pe Rakhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…
Har Ik Muflis Ke Mathe Par Alam Ki Daastanein Hain,
Koi Chehra Bhi Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…
Barey Logon Ke Unchey, Bad_Numa, Sard Mehloon Koi,
Ghareeb Aankhon Se Takta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…
Tere Kooche Se Ab Mera Taaluq Waajbi Sa Hai,
Magar Jab Bhi Guzarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…
Hazaar Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Pe ‘Wasi’
Mein Jab Bhi Hansta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain….!