Dil Bana Ne Wale Ne Dil Kaanch KaBanaya Hota,
Todne Wale Ke Haath Pe Zakham To Aaya Hota,
Jab Bhi Dekhta Apne Haatho Ko Wo,
To Unhe Humara Khayal To Aya Hota…
Aaj Hum Unhe Bewafaa Bata
Kar Aaye Hai, Unke Khato Ko
Pani Mein Baha Kar Aaye Hai
Koi Nikaal Kar Padh Na Le
Unhe, Isliye Pani Mein Bhi
Aag Laga Kar Aaye Hai..!
सब कुछ है मेरे पास बस दिल
की दवा नहीं;
दूर वो मुझसे है पर मैं उस से खफा नहीं;
मालूम है अब भी प्यार करता हैं
वो मुझसे;
वो थोडा सा जिद्दी है लेकिन
बेवफा नहीं।
Sab Ke Hote Huye Bhi Tanhai Milti Hai,
Yaadon Mein Bhi Gam Ki Parchai Milti Hai,
Jitni Bhi Dua Karte Hai Kisi Ko Pane Ki,
Utni Hi Jyada Unse Bewafai Milti Hai.
Bewafa Hai Dunia Kisi Ka Aitbaar Na Karo,
Har Pal Dete Hai Dhoka Kisi Se Pyar Na Karo,
Mit Jao Beshaq Tanha Ji Kar,
Par Kisi Ke Sath Ka Intzaar Na Karo.
So Doorion Par Reh Kar Be Wo Mujh Say Juda Na Tha
Woh Meri Zindagi Tha Magar Be-Wafa Na Tha
Dol Na Zara Si Baat Ko Qayamat Bana Dala
Warna Kabhi Woh Mujh Say Itna Khafa Na Tha
Jise Maine Mohabbat Ki Wo Mohabbat Thi Kisi Aur Ki,
Dhadkan Mere Dil Ki Aur Sansein Kisi Aur Ki,
Badal Gayi Ye Dunia Wo Dunia Hi Kuch Aur Thi,
Wo Bas Ek Sapna Tha Mera Haqiqat Thi Kisi Aur Ki.
Hume Bhi Na Pyar Karne Ka Khayal Aaya,
Jab Bhi Yeh Khayal Aaya Khud Ko Akela Paya,
Dhoondte Rahe Is Duniya Main Humsafar,
Kisi Ko Dhoke Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya.
Toote huye glaas me jaam nahi aata ,
Ishq ke mareez ko aaram nahi aata ,
Ye dil todne waale tune ye to socha hota ,
Toota huya dil kisi ke kaam nahi aata .
Karam Kar Do Ya Sitam Kar Do
Hum Tum Se Gila Nahi Karty
Khiza Main Phool Khila Nahi Karty
Mila Do Khak Main Lekin Yaad Rahy
Hum Jesy Log Dobara Mila Nahi Karty
Agar Yaade Kisi Ki Sath Ho To Use Tanhai Nahi Kehte,
Agar Mohabbat Sath Ho Kisi Ki To Use Judai Nahi Kehte,
Koi Agar Majboor Ho Jaye Kisi Ko Bhulane Ke Liye,
To Dosto Uss Majboori Ko Uski Bewafai Nahi Kehte.
Ye Inaayatein Gazab Kii Ye Balaa Kii Meharabaanii
Merii Khairiyat Bhii Puuchhii Kisii Aur Kii Zubaanii
Merii Bezubaan Aankhoun Se Gire Hain Chand Qatare
Vo Samajh Sake To Aansuu Na Samajh Sake To Paanii
Dil Ki Dhadkno Ko Ek Lamha Sabar Nahi,
Shayad Ki Usko Ab Meri Kadar Nahi,
Har Safar Mein Mera Kabhi Humsafar Tha Wo,
Ab Safar To Hai Magar Wo Humsafar Nahi.