Tumhara jutha pyar ko hamari zindagi samja,
Tumhe apna dil deke tumhara dard liya,
Tumhare khel ko me samaj na saka,
Tumko bewafa kehne ka kabil na raha...
Roshni kar raha hai is dil mein,
Ik diya sa jala hai is dil mein,
Dar hai aankhen na phir chalak jayen,
Ik kaanta chubha hai is dil mein,
Jis ke saarey makaan khali hain,
Sheher aesa basaa hai is dil mein,
Gungunaane lagi hain saansain bhi,
Koi rehne laga hai is dil mein,
Koi jis ka nahin ilaaj Arshad,
Dard aesa uthaa hai is dil mein..
Bina dard ke aasun bahaye nahi jate , bina pyar ke riste nibhaye nahi jate , zindgi me is baat ko yaad rakhana , kisi ko rula kr sapne sajaye nahi jate,.
har naye mod par sham ho jati hai.
zindagi pyar me badnam ho jati hai.
kaise dekhu mai kal ke sapne.
meri to har khushi pori hone se pehle nilam ho jati hai
Toote Huye Dil Ki Bas Ek
Hi Kahani Hai....
Naa Unko Hum Pe
Vishwas Tha...
Naa Unko Humse Pyaar
Tha...
Hum To Jee Rahe The
Juth Ki Duniya Main...
Kyuki Wo Sanam Hi
Bewafa Tha...
usne mujhe kuch is tarah se dekha ke me use
Mohobbat karne pe majboor ho gaya,
Uske ek ishare pe duniya tabha karne pe majboor ho gaya,
Uske is nazariye ko me pyaar samajh betha,
Isiliye aaj use bewafa kehne pe majboor ho gaya.
Hum to samjhe the k zakham hai bhar jaiga . . . . . kiya khabar thi k rog dil main utar jaiga . . . . . theek likha tha mere hath ki lakeron mein . . . . . tu agr pyar kare ga to bikhar jaiga . . . .
by Prince . . . . .
Tanhayi mere dil me samati chali gayi…
Kismat bhi apna khel dikhati chali gayi…
Mehki fiza me jo dekha pyar ko…
Bas yaad kisi ki aayi aur rulati chali gayi…
Ek din din ke darwaje pe koi dastsk de gaya
Aawaj di pass bulaya phir sapne de gaya
Phir wo din aaya jab wo aankhon ko ansu aur ghum de gaya
Aaj wo Din Hain Jab Main Aur sirf Uski Yaadein hain
Aur meri Mohbbat ko Koi Aur le Gaya
Kabhi use bhulana chaha,
Kabhi use manana chaha,
maine jab bhi chaha sirf use chaha,
na jane kya bat thi mere aasuo mein..
jo usne muje sirf aur sirf rulana chaha!