Jaane kya mujhse zamana chahta hai,
Mera dil tootkar mujhe hi hasana chahta hai,,
Jaane kya baat jhalkta hai mere chehre se,
Har shaks mujhe aajmana chahta hai ....
Pyaar wo hum ko bepnaah kar gaye ,
Fir zindagi me hum ko tanha kar gaye ,
Chahat thi unke ishq me fnaah hone ki ,
Par wo lout kar aane se manaa kar gaye ...
Khus hai wo log jinhone kabi pyar nahi kiya,
kisi ki ek jhlak pane ka intjar nahi kiya,
Bada chain milta hoga unhe rato me,
Jinhone sapne me kisi ka intzar nhe kya.
Dil Pe Kya Guzri Wo Anjan Kya Jane;
Pyar Kise Kehte Hai Wo Nadan Kya Jane;
Hawa K Sath Ud Gaya Ghar Is Parinde Ka;
Kaise Bana Tha Ashiyana Wo Toofan Kya Jane...
Teri yaad main aansoon ka samandar bana liya,
Tanhai k sehar main apna ghar bana liya,
Suna hai log pujtey hain patthar ko,
Isi liye dil apna patthar bana liya.
Kuch To A Yaar’ Elaj-E-Gum-E-Tanhai Ho, Bat Itni B Na Barh Jay K Ruswai Ho, Jis Ne B Muj Ko Tmasha Sa Bna Rkha Hai, Ab Zroori Hai Wohi Aankh Tmashai Ho, Doobne Waly To Aankho Se BKb Nikle Hain, Doobne K Liay Lazim Nhi,Gehraai Ho. Main Tujhe Jeet…
Kuchh saalo pahle ek andhkar sa chhaya tha.
.
Hame uske bina nind nahi aati thi,
Aisa kohraam sa chhaya tha.
.
Vo to duniya ki nazar me marke amar ho gaye.
.
Per duniya ko kon bataye,
Unko amar hamne hi banaya tha.
Hosla chor gaya tha sath nibhane wala,
Jane kis simat gaya aj wo jane wala,
Aj phr ankh me aay hazaron anso.
Aj phr yad wo aya hy bhulane wala,
Ab kahen ja k mere zakhm bhare hain,
Dekho Ab kahen lout k a jaye na jane wala,
Us ka har khuwab salamt rakhna,
Ghum na dekhe wo mere khuwab jalane wala,
Ab kahen raah mein mil jaye to itna kehna,
Mar gaya kab ka tere naz uthane wala..
Badalna aata nahi humko mausmon ki tarah
Har ek rut mein tera intejar karte hain
Na tum samet sakogi jise qyamat tak
Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain
Dil ke tootne se nahi hoti hai aawaz,
Aansoo ke behne ka nahi hota hai andaz,
Gum ka kabhi bhi ho sakta hai aagaz,
Aur dard ke hone ka to bas hota hai ehsaas…
,
Shayad ye teri adaa hai ki tu mausam ko
deewana karke chhod deta hai,lekin wo
deewana bhi kya deewana jo bewafa se pyar
karna chhod deta hai
Aaj Phir kisi yaad ne, raat bhar hai jagaya mujhko,
Kya saza di hai, mohabat ne khudaya mujh ko,
Din ko aaram hai na, raat ko hai chain kabhi,
Jane kis khaak se, kudrat ne banaya mujhko..
Ye Chubhan Akaile pan ki
Ye lagan udas Shab se,
Main hawa se larr raha hoon
Tujhe kya bataun kab se,,
Ye sehr ki Sazishen theen,
K ye inteqaam-e-shab tha,
Mujhe zindagi ka sooraj
Na bacha saka Ghazab se,
Tere naam se shafa ho!
Koi zakham wo ataa kar,
Mere nama-bar! Mile to,
Usy kehna ye adab se,
Wo jawaan ruton ki shaamein,
Kahan kho gai hain ,,,!
Main to bujh k Reh gaya hon
Wo bichar gaya hai jab se,,