Doston ki dosti ne , Dosti me uljha diya,
Dost mila unme aisa k jisne pyar jga diya,
Fir tod k mera dil, mujhe sari umar rula diya,
Bs is tarah mujhe duniya ne dosti aur pyar sikha diya..
Dosto se dur hona majburi hoti he
Hakikat ki duniya bhi jaruri hoti he
Kaun si hasrat he jo sapno se puri hoti he,
Dost na ho to har khushi adhuri hoti he,
Hatho me hoti he lakire hazar,
kisi me gum to kisi me khusiyo ki bahar,
Na jane wo kon si lakir hai YAAR,
jisme KHUDA Ne likh dia aap jaise DOST ka PYAR.
Husn wale v khub wafao ka sila dete hai,har mod par 1 nya jakhm dete hai, ae dost es jahan me koi apna nahi ,jab aag lagti hai to patte v hawa dete hai..
Hatho me hai lakiren hazar,
kisi me gum to kisi me khushiyan beshumar,
na jane vo kaun c lakir hai yaar,
Jisme likh diya khuda ne aap jaise Dost ka Pyar
Zindagi me humne rona seekha nahi
Dusron ki khushi ko cheen na sikha nahi
Sab kuch luta diya doston k liye
fir b log kehte hai dosti nibhana humne seekha nahi.
Dosti To Jeene Ka Sahara Hoti Hai
Us Khuda Ke Hone Ka Ishara Hoti Hai
Yeh Wo Ehsaas Hai Jisko Lafzon Mei Byaan Nahin Kar Sakte
Sailaab-E-Gham-E-Ulfat Mei Yahi To Kinara Hoti Hai..