Har Sagar Ke Do Kinare Hote Hain,
Kuchh Log Jaan Se Bhi Pyare Hote Hain,
Yeh Jaruri Nahin Ke Har Koi Pass Ho,
Kyonki Zindagi Mein Yaado Ke Bhi Sahare Hote Hain…
Kabhi Jajbat To Kabhi Yadon Ka Jikar Kiya Karte Hai ,
Kabhi Aansu To Kabhi Dard Ko Piya Karte Hai ,
Hain Hum Aap Ke Tabhi To Aap Ko,
Miss Kiya Karte Hain…
Najro Ka Apne Ek Jam Pila De,
Baho Mein Bhar Lo Fir Jahar Khila De,
Izhaar Kare Dil Ise Yaad Dila De,
Sanjiwani Banker Ek Murde Ko Jaga De,
Meri Mout Ki Ab Tak Unhe Khabar Na Pahunchi,
Ya Meri Tarah Unhe Bhi Laash Se Nafrat Toh Nahin…
Rab Ki Mehar Hai Ki Wo Bahoot Khubsurat Hai,
Uski Aankhe Jese Rab Ki Murat Hai,
Anjaan Se Dil Ne Humesha Bus Uska Hi Intzaar Kiya Hai,
Usko Hi Dekh Kar Har Lamha Iss Jeet Ne Jiya Hai…
suni har manzil ho
koi na mere sath ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
ye badal aisa toot ke barase
mere dil ke tarah milane ko
tumhara dil bhi tarase
tum nikalo ghar se
kabhi yun bhi to ho
tanahai ho, dil ho
bunden ho, barsat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
Kabhi Mohabbat Karo Toh Hum Se Karna,
Dil Ki Baat Juba Par Aaye Toh Hum Se Kahna,
Na Kah Sako Toh Aankhein Jhuka Lena,
Hum Samajh Jaayenge Hamein Kuchh Na Kahna…
Dil ka tootna toh ek bahana tha
Rab ko toh apna badla chukana tha
Toote ya toda jaye dil ko na hoga koi asar
Hum yuhi chalte rahenge chahe kabhi ho na seher.
Kabar me dafnaate hi,
Sare rishte tut jate h
Chand dino mein apne
Apno ko bhul jate h
Koyi nahi rota umar
Bhar kisi ke liye
Waqt ke sath aansu
Bhi sukh jate hain