Kafi Arsa Beet Gaya Hai,
Jaane Ab Wo Kaisa Hoga,
Waqt Ki Saari Kad’wi Baatain,
Chup Chaap Hi Ab Sehta Hoga,
Ab Bhi Bheegi Barish Mein Wo,
Bin Chatri K Chalta Hoga,
Mujh Se Bichre Arsa Beeta,
Ab Wo Kiss Se Ladta Hoga,
Acha Tha Jo Sath Hi Rehte,
Baad Mein Us Ne Socha Hoga,
Apne Dil Ki Sari Batain,
Khud Se Khud Hi Kehta Hoga,
Kafi Arsa Beeta Gaya Hai,
Jane Ab Wo Kaisa Hoga.
Tere Dosti Me 2 Pal Ki Zindagi Bahut Hai,
1 Pal Ki Hasi Or 1 Pal Ki Kushi Bahut Hai,
Ye Dunia Muje Jane Ya Na Jane,
Teri Ankhe Muje Pehchane Yahi Bahut Hai.
Koi Nahi Hota Hamesha K Liye Kisi Ka;
Likha Hai Sath Thoda Thoda Sabhi Ka;
Mat Banao Kisi Ko Apne Jeene Ki Wajah;
Qk Jeena Hai Akele Ye Usool Zindagi Ka...
बेकदर हो गए है कुछ दोस्त हमारे ,
जो हमारी जरूरत तक महसूस तक नही करते , कभी बहुत बातें किया करते थे हमसे ,
अब याद तक नही करते |
* I MISS YOU YAAR *
.
.
By.Rahul
Na jaane kyun mein tujh se kuch zyada rootha karti hoon,
Teri doori seh jaaye is ke liye dil ko apne manaya karti hoon
Kabhi to tujhe jaise bahut hi bura keh leti hoon per dost jab
Teri dosti ki misaale yad aati hai tujhe duaein diya krti hoon.
Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari
zindagi mein waapis aane ka aaj tak intezaar karti
hoon.
milta nahi hai pyaar aasaani se zindagi mein,
mera naseeb bhi kabhi khula tha.
par ab toh dil mein pathjhad hi hai,
fir bhi aisa lagta hai ki tum aayethe kal bahaar
banke meri zindagi mein.
dil ki ek baat tumhe batati hoon,
phir chahe tum ise maano ya na maano,
kehti to hoon sabse ki tum mere dost ho.
magar pyaar ka ddeep dil mein tumhare liye hi
jalati hoon.
Dosti mai dil ka tamasa dekha nahi jata,
Humse tuta hua sisa dekha nahi jata.
Apne hisse ki sari khusiya lutadu tumper,
Humse tera utra hua chehara dekha nahi jata.
Dost kahna aasan banana mushkil hai,
Dosti karma aasan nibhan mushkil hai,
Yu to har mod pe ek dost mil jate hai.
Par dosti ka ehsas jatana mushkil hai.
Phool Sukh Jate Hai Ek Vakt Ke Baad
Insaan Bhi Badal Jate Hai Ek Vakt Ke Baad
Dosti Bhi Toot Jati Hai Ek Vakt Ke Baad
Lekin Vo Vakt Aayega Meri Maut Ke Baad
Kuch waqt pehle Muje b zindagi ne azmaya tha Us dost k sath Maine b hasta hua pal bitaya tha rota hua chhodgye to kya hua Hasna b to unhi ne sikhaya tha.
Is kadar hum yaar ko manane nikle;
Uski chahat ke hum deewane nikle;
Jab bhi use dil ka haal batana chaha;
To uske hothon se waqt na hone ke bahane nikle!