Eh Mere Khuda Tu Itna Jarur Karna,
Do Chahne Walon Ko Kabhi Bhi Na Door Karna,
Bas Woh Likhana Ki Log Sagar Ko Na Bhool Paayein,
Kisi Ko Thhes Na Pahunche Yeh Dua Kabool Karna…
Mohabato mein jinewale khushnasib hai Mohabato mein marnewale bhi ajib hai Ajib hai humari daastan Jane-e-man Fasalo par rehate hai lekin Kitne karib hai…
Tanhaai Me Jab Bite Lamho
Ki Yaad Aati Hai, Kya
Kahe Jism Se Jaan Chali
Jaati Hai, Yun To Unki
Berukhi Yaad Hai Hume, Par
Aankhe Band Kare To Surat
Unki Nazare Aati Hai.
Har Aaine Ke Taqdeer Me
Tasveer Nahi Hoti Har Kisi
Ki Taqdeer Ek Jaisi Nahi Hoti
Bahut Khushnaseeb Hote H Wo Log
Jinke Haatho Me Milan Ke
Baad Bichadne Ki Lakir Nahi Hoti.
Sab Ke Hatho Mein Kuch Lakire Hai,
Banti Jinse Sabki Takdire Hai.
Dua Hai Aap Ke Hatho Mein Lakire Kuch Khas Ho,
Aur Dunia Ki Her Khusiya Aap Ke Paas Ho..
Seene Se Nikli Aah Ankho Me
Thehar Jaati Hai.. Ankhe Chalak
Na Jaaye Isliye Jhuk Jaati
Hai.. Zinda Hone Ka Ehsaas
Hota Hai Sanso Ke Chalne Se..
Par, Koi Yaad Aaye To Ye Bhi
Ek Pal Thehar Jaati Hai..!
शिकवों शिकायतों में जिन्दगी बिता डाली.
पास सब कुछ था फिर भी रह गई झोली खाली
रेत की तरह वक्त मुठ्ठी से फिसलता ही गया
जब तक एहसास हुआ वक्त ने ही दगा दे डाली.
Chah Kar Bhi Use Apna Bana
Na Sake, Ishq Kar Ke Bhi
Unhe Ye Jata Na Sake, Dil
Tha Humara Koi Kaagaz Ka
Tukda Nhi, Isliye Kbhi Cheer
Kar Bhi Unhe Dikha Na Sake..!!
Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,
Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,
Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho,
Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho..
Barsat ki bunde hai ankho me nami hai
na uper asman hai na niche jamin hai...........!!!!!!!!
Ye kis mod par aa gaye jindgi ke,,
jiski sabse jyada jarurat hai aaj usiki KAMI HAI.
Mere pyar ko duniya me koi samajna paya,
rote the jab tanha koi mere sath na aya,
mita diya khud ko uske pyar me,
aur kehte hai log ki mujhe pyar karna na aya.
Unki duaon ka hum par asar dekhiye,
Kahan reh gayi thi ye kasar dekhiye.
Hum to nazar aayenge har ishq mein,
Is jahan mein aap apni basar dekhiye.
Bhool baitha hai shayad woh is gaon ko,
Kya hona hai ab haal-e-sahar dekhiye.
Ek baar yun hi sahi rakhne ko dil mera,
Dar par mere zara kabhi thahar dekhiye.