Gam Ko Bech Kar Khushi Khareed Lenge..
Khwaab Bech Kar Zndgi Khareeb Lenge..
Hoga Imtehan To Dunia Dekhegi..
Khud Ko Bech Kar Aapki Mohabbat Khareeb Lenge..!
Raj
kar li humne khud kushi,teri khushi k vaste…bhula
diya tujhe,chod diya tere raste…..
Mar k bhi mila na chain, jo tum kabr par aa gaye…
khata bus etna kiya ‘Aansu’ baha gaye…
Aankhay Jub Aussay Char Hoti Hain
Dil Ki Baatay Hazar Hoti Hain
Piyar May Pata Chal Raha Hay Abb
Kasay Nindhay Kharab Hoti Hain
Zamana Kuo Dushman Banta Hay
Kasa Sunna Baatay Azab Hoti Hain
Samajh May Kuch Nahi Aata Mujhe
Aqal Ki Batay Baykar Hoti Hain
Tanhaiyon me muskurana ishq hai,
Ek baat ko sab se chupana ishq hai,
Yun to neend nahi aati hamein raat bhar,
Magar sote sote jagna aur jagte jagte sona ishq hai../
Ujad Jayega Sapno Ka Haseen Gulshan
Mere Hatho Mein Gar Tera Hath Na Aaya
Kabhi Manzil N Mil Payegi Mujhe Pyar Ki
Jo Pyar Ki Raaho Pe Tu Mere Sath N Aayaaa
Kuch rishte iss jahan mein khas hote hai,
Hawa ke rukh se jinke ehsaas hote hai,
Yeh dil ki kashish nahi toh aur kya hai,
Door reh kar bhi woh dil ke kitne paas hote hai…
Bas Etni Si Inaayat Mujh Pe Ek Baar Kijiye,
Kabhi Aaker Mere Zakhmon Ka Dedaar Kijiye,
Ho Jaiye Begaane Aap Shaukh Se Sanam,
Aapka Hoon Aapka Rahunga Aitbaar Kijiye!!!!
hum sada hi aise the, ke yun hi pazirai
jis bar khizan aai, samajhe ki bahar aayi
aashob-e-nazar se ke hum ne chamn-arai
jo shay bhi nazar aayi gul-rang nazar aayi
ummid-e-talattuf mein ranjida rahe donon
tu aur teri mahafil main aur meri tanahai
van millat-e-bul-havasan aur shor-e-vafajui
yan khilvat-e-kam-sukhanan aur lazzat-e-rusavai
yak-jan na ho sakiye anjanna ban sakiye
yon toot gai dil mein shamashir-e-shanasai
is tan ke taraf dekho jo qatl-gah-e-dil hai
kya rakkha hai maqtal mein ae chashm-e-tamashai
Dil K Dred Ko Dil Torne Wale Kia Jane Pyar K Rewajoon Ko Ye Dunya Wale Kia Jane Hoti Hain Kitne Taklef Qaber Main Wo Uper Say PHOOL Rekhnay Wale KiaJane
yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindagii beet rahii hai “sweet”
ek bejurm sazaa ho jaise