हल्की सी आहट पे भी ये दिल धड़क जाता है
तेरी खामोशी का शोर मुझ तक चला आता है
तु कुछ ना कह मुझ से मे सुनती हूँ तेरी हर सदा
मेरे शहर का हर परिंदा अब तेरी खबर लाता है
Nigah meri tarasti hy
Mujhy tum yaad aaty ho
Muhabaat kab tarapti hy
Mujhy tum yaad aaty ho
Sama jata hy aankhon main
tery jazboon ka bhega pan
Kahen barish barasti hai
Mujhy tum yaad aaty ho
Zamany k swalon ko
main hans kr taal don laiken
Nami aankhon ki kahti hy
Mujhy tum yaad atay ho..
Aye Sanam..
Ye Kaisa Tera Pyar Hai..
Kyu Meri Kismat Me Sirf Likha Intezaar Hai..
Tum Aate Ho Milne To Dil Khush Hota Hai..
Lekin
Tanhaai Me Na Jaane Ye Kyu Roota Hai..!
kbhi ro kr muskuraye kbi muskura ke roe,
jb teri yad aai tujhe bhula keroe,
ek tera hi nam tha jise hjarobar likha
jitna likh kr khus hue usse jyada mita k roe.
Tune Chaha Hi Nahi Warna
Sawar Gaye Hote. Gul Apne
Pyaar Ke B Khil Gaye Hote,
Agar To Kadam Bhi Badah
Deti Mere Tarf, Khuda Kasam
Ham Had Se Gujar Gaye Hote.
Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha
Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un pe aap ka aks bhi tha
Kal badal kalay gehray thay
Kal chand pay lakhon pahray thay
Kuch tukray aap ki yaad kay
Bari dair say dil main thehray thay
Kal yaadain uljhi uljhi thin
Aur kal tak yeh na suljhi thin
Kal yaad bohut tum aye thay
Kal yaad bohut tum aye tha.
Mana Ke Abhi Tere Mere Aramanon Ki Qimat Kuch
Bhi Nahi
Mitti Ka Bhi Hai Kuch Mol Magar Insanon Ki Qimat
Kuch Bhi Nahi
Insanon Ki Izzat Jab Jhuthe Sikkon May Na Toli
Jayegi
Wo Subah Kabhi To Ayegi
Daulat Ke Liye Jab Aurat Ki Ismat Ko Na Becha
Jayega
Chahat Ko Na Kuchala Jayega, Izzat Ko Na Becha
Jayega
Apani Kali Karatuton Par Jab Ye Duniya
Sharmayegi
Wo Subah Kabhi To Ayegi
Subha-o-sham aur raatein tum se
Mohabbaton ki wo baatein tum se
Aatish-e-tar ki kiya baat karun
Ghulab saare jalte hein tum se
Tanhayi mein bhi tabsum labon pe
Yaad hai karna sharatein tum se
Bhool gaye toh gila na kiya “Faisal”
Ab kiya karein shikaayatein tum se
Is kadar hum yaar ko manane nikle,
Uski chahat ke hum deewane nikle,
Jab bhi use dil ka haal batana chaha,
To uske hothon se waqt na hone ke bahane nikle..
Mahobat ek ehsaso ki pavan si kahani hai
Kabhi kabira diwana tha kabhi mira diwani hai
Yaha sab log kehate hai meri ankho me ansu hai
Jo tu samje to moti hai jo na samje to pani hai.
Zindagi mai kuch na mila humko to kya gum hai Aapka pyar mila
humko kya ye
kam hai Aapki dil mein ek chotisi jagah jo palun to woh jagah kya
tajmahal se
kam hai.
Muskil is Dunia Me Kuch Bhi Nahi..
Fir Bhi Log apne irade Tod Dete He..
Agar Sache Dil Se Ho CHAHAT Kuch Pane Ki..
To Sitare Bhi Apni Jagah Chorh Dete He..
Kashti ke musafir ne samandar nahi
dekha.
Ankho me rahe dil me utarkar nahi
dekha.
Patthar samjhte hai mere chahne
wale mujhe.
Par mom hu main kisi ne chu kar
nahi dekha.
Use Door Se Hi Takta Raha
Waqt Yuhi Waqt Kat Ta Raha
Na Jane Kyun Nigahe Thami
Rahi Bus Uske Chehre Par
Hi Jami Rahi, Kabhi Chand
Samajh Kar Kabhi Chandni
Hum Unhe Dekhte Rahe Tahzeeb
Se Par Kabhi Socha Na Tha
Unka Deedar Hoga Itne Kareeb Se.