Hakikat na puch mere fasane ki,
Tere jate hi badal gayee najar jamaane ki,
Log kahete hai ki khush hu mai,
Lekin meri to aadat hai gum me muskurane kiiii
Fasala to hai magar koi fasala nahi
mujhase tum juda sahi dil se to juda nahi
aasman ka fikr kya aasman khafa sahi
aap ye bataiye aap to khafa nahi
kashtiyan nahi to kya hausale to pas hain
kah do nakhudaon se, tum koi khuda nahi
lijiye bula liya aap ko khayalon mein
ab to dekhiye hamen koi dekhata nahi
aaiye chirag-e-dil aj hi jalayen hum
kaisi kal hawa chale koi janata nahi
Apnay Miltay Jultay Hain Sath Sath Chaltay Hain Sath Sath Chalnay Main Ranjishain To Hoti Hain Ranjishon Mai Bhi Lekin Chahtain To Hoti Hain Chahton Main Bhi Her Pal Ik Ajab Kahani Hai Hont Hanstay Rehtay Hain Ankhain Bheeg Jati Hain Bheegti Nigahon Main Khawab Jaltay Bujhtay Hain Dard K Safar Main
Mere pyaar ko duniya mein koi samajh na paya,
Rote thay jab tanha koi mere saath na aaya,
Mita diya khud ko unke liye pyaar mein,
Aur wo kehte hai ki mujhe pyaar karna na aaya…
Char Dino Ki Thi Zindagi Jaane Kaise Beet Gayi,
Thukara Ke Yahan Sab Humko Bewafa Hi Kahte Rahe,
Magar Na Kisi Se Hamne Aaj Talak Kiya Shikwa,
Hum Bhi Na Jaane Kaise The Chup Chap Sitam Sahte Rahe…
Tumhara nam likhnay ki ijazat chin gai jab se
koi b lafz likhta hu to ankhe bheeg jati h
Hazaron mausmon ki hukmarani hae meray dil par
main jab b tanhha hon tou aankhain bheeg jati hai.
Khush huuN ki meraa husn-e-talab kaam to aayaa
Khaalii hii sahii merii taraf jaam to aayaa
log un se ye kahate haiN ki kitane haiN “Sweet” aap
is husn ke sadaqe meN meraa naam to aayaa
Na Wakt Hai Itna Ki Use Bhula DiyaJaye Jaye
Na Tarkib Koi Ki Usse Mulakat HoJaye.
Na Jane Kaun Sa Dard Diya Hai IsPyar Ne
Na Roya Jaye
Aur Na Soya Jaye.
Agar Woh Khush Hain Dekh Ker Aansu Meri Aankho Me
To Khuda Ki Kasam Hum Mushkurana Chhod Denge
Tadapte Rahenge Use Dekhne Ko Lekin
Us Ki Taraf Nazre Uthana Chhod Denge
Woh Manzil Hi Kya Jo Ap Ko Dukh De Sake
Khuda Ki Kasam Us Manzil Tak Jana Chhod Denge…
Unki mohabbat ke abhi nishan baki hain
Naam lab par hai aur jaan baki hai
kya hua agar dekh kar muh pher lete hain
Ye tasalli to hai ki unhe hamari pahchan baki hai
Dil ki duniya tootne ke baad sab rote the
Hum the ki pagalon ki tarah hanste the
Yeh hale dil hum kaise sunayeki
Takleef na ho unko iss liye akele rote the
Dekh, Bhar Gaya Hai, Tera Diya Jakham Fir Se,
Aaj Mukuraya Hun, Rulane Ke Liye Aaja,
Tukde Samete Hain Sagar Ne Fir Se Dil Ke,
Aur Nahi Toh Thokar Lagane Ke Liye Aaja…
Jara Si Roshni Ke Waste Hum Yaaro,
Dekhiye Apna Hi Ghar Jalaye Baithe Hain,
Shayad Khuda Ne Bhi Fer Li Aankhein Humse,
Sunta Nahi Muddato Se Haath Uthaye Baithe Hain….