Dard ka ehsas janna hai to pyar kar ke dekho
Apni aankhon main kisi ko utar kar dekho
Chot un ko lage gi aansoo tumhein aa jayein ge
Ye ehsas janna ho to dil haar kar dekho...ii
Aah aur dard bas tera talabgaar hua
Aankh patther huyi, ashk aabshaar hua
Ye judayi bhi amavas ka ek sitara hain
Chand k bin ye falak bhi daagdaar hua
Meri palko ka jhapakna bada muskil h
Aisa tab se h, jab se tera didaar hua
So rahe h en makano ke bashinde sabhi
Main jaga reh k basti ka gunehgaar hua
Na Samajh Bhul Gaya Hu Tujhe
Teri Khushbu Mere Sanson Mein Aaj Bhi Hai
Majburion Ne Nibhane Na Di Mohabbat
Sachai Meri Wafaon Mein Dekh Lo Aaj Bhi Hai…
Hum Bhi Apne Pyar Pe Naaz Karte
Kash Ke Ham Unke Dil Pe Raaj Karte
Jo Kal Tha Wohi Pyar Aaj Karte
Hame Gum Nahi Unki Bewfai Ka
Bas Armaan Tha Ke Hum Bhi Apne Pyar Pe Naaz
Karte
Gham K Samondaron Mai Khoya Howa Hoon Mai!
Honton Pay Hansi Rakh K Roya Howa Hoon Mai!
Mil Jayay Agr Koi Khushi To Lagta Hai Mujhay!
K Jagti Ankhon Mai Bhi Soya Howa Hoon Mai!
Dekh Kar Tanha,
Mujhse Pucha Bahaaron Ne,
Kaha Gaya Tera Woh Hamsafar,
Tujhe To Bada Naaz Tha Uspar,
Yeh Dekh Kar Main Chup Rahaa,
Par Mere Aansuon Ne Jawab Diya,
Milna Kismat, Bichhadna Naseeb Tha,
Woh Mujhse Itna Door Ho Gaya,
Jitna Woh Mere Kareeb Tha…
Socha tha k apne ruthe huye yar ko manau
Ja ke uske daman mein toot kar bikhar jaau
Jab pahucha uske aashiyane mein toh paya
Wo to dua kar the k main unse door ho jaau
Kaanch Ka Tohfa Na Dena Kabhi Kisi Ko
Rooth Ke Log Aksar Tod Diya Karte Hain
Jo Bahut Acha Ho Use Jayda Pyar Mat Karna
Ache Log Hi Aksar Dil Tod Diya Karte Hainnnn
Main Mar Jaun To Mujhe Jala Dena,
Usse Pahle Mera Dil Ko Nikal Lena,
Mujhe Parwah Nahi Is Dil Ki Jal Jane Ki,
Mujhe Parwah Hai Is Dil Mein Rahne Wali Ki…
Chot Jigar Par Apne Khayi Hai Humne,
Kya Jaanenge Dard Mera Yeh Log Paraye,
Mout Se Achhi Ho Sakti Hai Zindagi Kaise,
Mujhe Itna Hi Bas Aakar Koi Samjhaye…