Zindagi Ka Pinjra Kisi Din Toot Jaayega
Phir Musafir Kisi Rah Main Choot Jaayega,
Abhi Sath Hai To Baat Kar Lia Karo
Kya Pata Kab Zindagi Ka Sath Choot Jaayega!
Rone Vi Nahi Dete, Hasne Vi Nahi Dete,
Jine Vi Nahi Dete, Marne Bhi Nahi Dete,
Kehte Hai Wo Gayero Ko Lao Na Khyalo Mein,
Aur Khud Apne Khyalo Mein Khone Bhi Nahi Dete.
मैंने पत्थरों को भी रोते देखा है, झरने के रूप में
मैंने पेड़ों को प्यासा देखा है, सावन की धुप में,
घुलमिल के बहुत रहते हैं, लोग जो शातिर हैं बहुत
मैंने अपनों को तनहा देखा है, बेगानों के रूप में !!
Kisi shayar ne "Mout" ko kya khoob kaha:
Zindagi me 2 minute koi mere pasna baitha,
aaj sab mere pas baithe ja rahe the,
.
koi tohfa na mila aaj tak mujhe,
aaj phul hi phul diye ja rahe the,
.
taras gaya me kisi k hath se diye vo ek kapde ko,
aaj naye naye kapde odhaye ja rahe the,
.
Do kadam sath na chalne ko tayyar tha koi,
aaj kafila banakar ja rahe the,
.
Aaj pata chala ke 'MAUT'itni hasin hoti h,
Kambhakt "HUM"to yuhi jie ja rhe the
Kisko Khabar Thi Kisko Yaqeen Tha Aaise Bhi Din
Aayenge,
Jeena Mushkil Ho Jayega Mar Bhi Na Paayenge,
Hum Jaise Barbaad Dilooo.. Ka "Jeena Kya Aur
Marna Kya",
Aaj Teri Mehfil Se Uthe Hai Kal Duniya Se uth
Jayenge.
Meri sanso se shikwa karte ho tum,
Chup chup k chahat ka sauda karte ho tum,
Tum hi socho ye kaise majboori hai tumhari,
Mujh me rahkar mujhse parda karte ho tum….
Ek Gujarish Hai Mere Dost Tujhse,
Taumra Is Dosti Ko Nibhana,
Ho Kuch Dil Mein To Usse Kabhi Na Chupana,
Dukh Ho Ya Sukh Hamesha Mere Sath Chalna,
Bhatak Jaau Agar Mein Kabhi To Sahi Raah Dikhana…
idhar Jate Hain Sab, Udhar Jana Achha Nahi Lagta,
Mujhe Puraane Raston Ka Safar, Achha Nahi Lagta,
Galat Baaton Ko Khamoshi Se Suno, Hami Bhar Lena,
Bahut Hain Fayde Is Mein Magar Achha Nahi Lagta,
Mujhe Dushman Se Bhi Khuddari Ki Umeed Rahti Hai,
Kisi Ka Bhi Ho Sar Kadmon Mein Achha Nahi Lagta,
Wo WaQt Tha Aisa Ke Judai Zaruri Thi ,
Mohabbat Ki Zanjeeron Se Rihai Zaruri Thi ..
Rasm-E-Mohabbat Nibhai Phir Bhi Ilzaam Mila ,
Is Liye Mohabbat Mein Thori ßewafai Zaruri Thi ..
Sehme Labon Par Masoom Si Fariyaad Aa Jaye
Koi Khushi Ab In Ghamon Ke Baad Aa Jaye
Har Pal Main Mehsoos Karta Hoon Aapki Kami
Kisi Pal Aapko Bhi Meri Yaad Aa Jaye…
Mohabbat se wo dekhte hain sabhi ko
Bas hum par kabhi ye inayat nahi hoti
Main to sheesha hu tutna meri fitrat hai
Esliye muje pattharo se koi sikayat nahi hoti
Yaadon ko teri hamne khone na diya,
Ghamo ne bhi chup hone na diya,
Aankhein to aaj bhi bhar aayi teri yaad mein,
Par teri di hui kasam ne hamein rone na diya.
isk karne wale ankhoin ki bat samjh lete h
sapne ko mulakat samjh lete h
rota to asman b h apne dharti ke liye
par log uske ansuin ko barsat samajh lete h
Main Aaj Apne Halat_E_Dil Se Khud Hi Khafa Hun,
Mera Dil Tod Kar Puchhta Hai Woh Main Kitna Khush Hun?,
Dil Se Dil Ki Dor Ko Pal Bhar Me Tod Diya,
Tod Kar Mujh Se Har Nata Wo Puchhta Hai, Kya Main Aaj Bhi Tera Hun?,
Mere Har Khawab Ko Gham Ki Dhoop Me Jala Diya,
Bikhre Hue Armano Ko Dekhkar Wo Puchhta Hai, Kya Main Ab Bhi Khwab Dekhta Hun?,
Kitni Dil Lagi Se Wo Mujh Se Ye Sab Sawal Puchhta Hai,
Hairat Hai Mujhe Kaisa Shaksh Hai Woh Dil Tod Kar Bhi Mera Khayal Raktha Hai…