Intzar Ki Aarzu Ab Kho Gayi Hai,
Khamoshiyo Ki Aadat Ho Gayi Hai,
Na Sikwa Raha Na Shikayt Kisi Se,
Agar Hai To Ek Mohbbat,
Jo In Tanhayion Se Ho Gayi Hai.
Itne Gehere Naate Kbhi Tode Nhi Jate,
Beech Raah Me Humsafar Bhi Chhode Nhi Jate,
Tumse Juda Hokar ’Kumar’ Chal Padega Maut Ke
Safar Par,
Fir Wapas Un Raho Se Bhi Kadam Mode Nhi Jateee
Gutno Se Rengate Rengate,
Kab Pairon Par Khaad Huaa,
Teri Mamta Ki Chhav Mein,
Jaane Kab Bada Huaa,
Kala Teeka Doodh Malayi,
Aaj Bhi Sab Kuchh Vaisa Hai,
Main Hi Main Hu Har Jagah,
Pyar Yeh Tera Kaisa Hai,
Seedha Sadha Bhola Bhala,
Main Hi Sabse Achha Hu,
Kitna Bhi Ho Jaau Bada,
Maa Main Aaj Bhi Tera Bachha Hun…
Mohabbat Mein, Bekar, Dil Ko Tadpana, Hamein Achha Nahi Lagta,
Har Kisi Ko, Palko Pe Bithana, Hamein Achha Nahi Lagta,
Sacha Saathi Toh Hamein, Aaj Tak Mila Nahi Koi, Sagar,
Kisi Bewafa Ko, Dil Mein Basana, Hamein Achha Nahi Lagta….
Dil Nichod Kar Dard Nikalo,
Ya Fir Koi Rog Na Paalo,
Kuchh Lena Hai De Do Pahle,
Tab Basti Mein Dera Dalo,
Bhukhe Pet Raag Na Foote,
Jine Ki Khatir Kuchh Daalo,
Notanki Hai Basti Basti,
Parda Jara Jhakkas Utha Lo,
Koi Asar Na In Baaton Mein,
Mudda Koi Thos Uchhalo…
Mujhey Darya Nahi Likhna,Mujhey Sehra Nahi
Likhna
Tasallsul Se Safar Main Hoon, Mujhey Thehra Nahi
Likhna
Purani Rabton Ki Raakh Ab Tak Dil Main Baqi Hai
Meri Jalti Hatheli Par Naya Wada Nahi Likhna
Ana Se Jeet Kar Usko Agar Jo Mainey Khoya Hai
Mera Noha Nahi Likhna Mera Naghma Nahi Likhna
Bisat-E-Zindagi Ki Aakhiri Sarhad Pe Khara Hoon
Mujhey Fateh Nahi Likhna Mujhey Mohra Nahi
Likhna
दिल को अब यूँ...
दिल को अब यूँ तेरी हर एक अदा लगती है;
जिस तरह नशे की हालत में हवा लगती है;
रतजगे खवाब परेशाँ से कहीं बेहतर हैं;
लरज़ उठता हूँ अगर आँख ज़रा लगती है;
ऐ, रगे-जाँ के मकीं तू भी कभी गौर से सुन;
दिल की धडकन तेरे कदमों की सदा लगती है;
गो दुखी दिल को हमने बचाया फिर भी;
जिस जगह जखम हो वाँ चोट लगती है;
शाखे-उममीद पे खिलते हैं तलब के गुनचे;
या किसी शोख के हाथों में हिना लगती है;
तेरा कहना कि हमें रौनके महफिल में "फराज़";
गो तसलली है मगर बात खुदा लगती है।
Bachpan Ke Dukh Kitne Ajeeb Hote the,
Tub to sirf Khilone Tora karte the..
Wo Khushiyan bhi Jane Kesi Khushiyan thi,
Titlyon k par nouch k Uchhla karte the..
Chote the to Makr-o-Fraib b chote the,
Dana dal k chirya pakra karte the..
Paon mar k Barish k Pani mein,
Apni naou aap daboya karte the..Apne jal jane ka bhi ehsaas na tha,
Jalte huye sholon ko cheera karte the..
Ab tou ek ansoo bhi ruswa kar deta hai,
Bachpan mein tou jee bhar k Roya karte the
Itna Pyar Dekar Gayi Ho Har Ghadi Yaad Aayega
Dil Se Dil Ka Rishta Ye Kaise Dil Se Mitaya Jayega
Har Ghadi Hum Karte Hain Jiska Intezar Aane Ka
Khuda Zarur Hume Unse Ek Na Ek Din Milayega.
Unhe nafrat thi humse toh izhaar q kiya,
Dena tha zehar toh pyar q kiya,
De k zehar kehte hain peena hoga,
Aur jab pee gye toh bole tumhe meri kasam jeena hoga,
Apne Dil Ki Tanhai Dur Karne Ke Liye
Maine Tumko Apne Dilme Panah Di
Tumne Mere Dil Ke Saath Khela Aur Tod Diya
Fir Jaake Kisi Aur Ke Dilme Panah Li..!!