Panv Mein Dam Rahe Nagar Bahut
Hath Chalte Ho Rojgar Bahut,
Dil Mein Har Vakt Ek Hangama
Sahar Tanha Hai Nayak Bahut,
Dekh Li Mahar Baniyan Teri
Zindagi Man Na Gham Gusar Bahut,
Kya Koi Yaar Aane Wala Hai
Vakt Puchho Ho Aaj Yaar Bahut,
Raat Kahti Hai Badr So Jaao
Ho Chuka Uska Intezaar Bahut…
Roshani kar na sake dil bhee jalaaya humne
Ay khuda chun ke mukaddar apana paya humne
Tapate dil ko kisi aur bhee mil paayee na raahat
Saawan aankhon se bhee ek umr bahaaya humne.
wo mujhe chhor gye isme un ka kya ksur tha,
Un ka pyar sayad mere nsib me hi n tha.
Bgair un k hi ab ji lete hum,
Sayad wo ek sitara tha jo mere krib na tha.
चाहत तो :man: हम भी रखते हैं, किसी के :heart: दिल में हम भी :vibration_mode: धड़कते हैं, न जाने वो कब :cry: मिलेंगे :woman: जिन के लिए हम रोज़ :broken_heart: तड़पते हैं.
Kabi Teri Palko Me Jhilmilaon
Mai, Tere Khayalon Me Khud
Ko Bhul Jau Mai, Beech Samundar
Me Jakar Dhakka Mat Dena.. Kaho
To Kinaare Par Hi Doob Jau Mai..!
Pasand He Surat Hame Lakho
Me Unki, Koi Jadu To
Jarur He Ankho Me Unki,
Ghayal Dil Ki Bat Wo Jane
Ya Na Jane, Hamne To Bhitaya
He Pal Pal Yado Me Unki..
Ankhe ro padhi unka na paigam aaya,
Chale gaye humein akela chhod ke ye kesa mukam aaya,
Meri tanhai Hansi mujhpe Aur boli Bata,
Aakhir mere siva tere kon kaam aaya…
Ruye Hian Sabhi Toh Aakar Lash Par Hamari,
Magar Unhone Do Aansu Bhi Na Bahaaye Hain,
Hamein Kiya Barbad Loota Hai Jis Jaalim Ne,
Door Khade Hokar Dekho Woh Muskaraye Hain…
Chupke Chupke Raat Din Aansu Bahana Yaad Hai
Ham Ko Ab Tak Aashiqi Ka Wo Zamana Yaad Hai
Ba_Hazaran Iztrab-o-Sad Hazaran Ishtiyaq
Tujh Se Wo Pehle Pehal Ka Dil Lagana Yaad Hai
Tujh Se Kuch Milte Hi Wo Be_Baak Ho Jana Mera
Aur Tera Daanton Mein Wo Ungli Dabana Yaad Hai
Khainch Laina Wo Mera Parde Ka Kona Dafa’tan
Aur Dopatey Se Tera Wo Munh Chupana Yaad Hai
Aa Gaya Gar Wisal Ki Shab Mein Phir Kahin Zikr-e-Faraq
Wo Tera Ro Ro Kar Mujh Ko Bhi Rulana Yaad Hai
Dopehar Ki Dhoop Me Mujh Ko Bulane Ke Liye
Wo Tera Kothe Pe Nange Paon Aana Yaad Hai
Bawajood Adaye Ittaqa ‘Hasrat’ Mujhe
Aaj Tak Ehad-e-Hawis Ka Wo Fasana Yaad Hai
Khata Ho Jaati Hai Jazbaat Ke Saath;
Unka Pyaar Yaad Aata Hai, Har Baat Ke Saath;
Khata Kuchh Bhi Nahi, Mahaz Pyaar Kiya Hai;
Unka Pyaar Yaad Aata Hai, Har Alfaaz Ke Saath!