Hamein Aapki Yaad Na Aaye To Hum Bewafa
Aap Hamein Bulaein Aur Hum Na Aaein To Hum Bewafa
Hammein Zahar Dene Ki Kya Zaroorat Hai
Aap Chehra Mod Le Aur Hum Na Marein To Hum Bewafa
Wo To Deewani Thi, Mujhe Tanha Chod Gayi,
Khud Na Rook Saki Apna Saya Chod Gayi,
Gum Na Sahi Dil Iss Baat Par Dukha H,
Ki Hoton Se Karke Wadda Dil Se Tod Gayi.
Lamha Lamha Sanse Khatm Ho Rahi Hai,
Jindagi Maut Ke Pahloo Me So Rahi Hai,
Us Bewafa Se Mat Pucho Meri Maut Ki Wajah,
Wo To Bus Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai.
Jaane kaise yakeen dilaun main apni wafa ka usse,
Jaane kaise samjhaun main apne dil kibaat usse,
Ek din chale jaayenge hum iss duniye se aise hi,
Suna hai aksar bewafai ke daag mit jaaya karte hai maut ke baad...
Dard Hi Sahi Mere Ishq Ka Enaam Toh Aaya,
Khali Hi Sahi Hatho Mein Jaam Toh Aaya,
Main Hoon Bewafa Ye Sabko Bataya Usne,
Yoon Hi Sahi Uske Hontho Pe Mera Naam To Aaya.
Nahi Rakhte Hum Wafa Ki Umeed Kisi Se,
Hum Ne Har Taraf Bewafai Jo Payi Hai,
Mat Dhoond Humare Chehre Par Zakhm Ke Nishan,
Hum Ne Har Chot Dil Par Khai Hai.
Toota Ho Dil To Dukh Hota Hai,
Karke Mohabbat Kisi Se Ye Dil Rota Hai,
Dard Ka Ehsaas To Tab Hota Hai,
Jab Kisi Se Mohabbat Ho Aur,
Uske Dil Mein Koi Aur Hota Hai.
Hamara Toh Dard Se Rishta Purana Hai,
Isiliye To Aapke Har Gam Ko Apna Mana Hai,
Kya Kahe Uss Rab Se Bhi Ki Woh The Bewafa,
Humne To Khud Ko Hi Ab Bewafa Mana Hai.
सब कुछ है मेरे पास बस दिल
की दवा नहीं;
दूर वो मुझसे है पर मैं उस से खफा नहीं;
मालूम है अब भी प्यार करता हैं
वो मुझसे;
वो थोडा सा जिद्दी है लेकिन
बेवफा नहीं।
Meri Wafa’o Ne Tujhe Bewafa Bana Diya,
Na-Jaane Kyu Tumne Mujhe Bhula Diya,
Wafa Na Ki Hoti To Iss Saja Ke Haqdar Na Hote,
Kal Raat Teri Yaado Ne Mujhe Fir Se Rula Diya.
Dil Ki Ho Ya Aankho Ki,
Ruswayi Toh Aakhir Ruswayi Hai,
Bhale Darr Se Karen Ya Hakikat Mein,
Bewafayi Toh Aakhir Bewafayi Hai,
Kahan Jaakar Kisko Sunaye,
Aaj Kitane Udaas Hum Hain ,
Mout Se Koi Sikwa Nahin,
Diye Zinagi Ne Saare Gham Hain,
Mout Se Rista Hai Hamara Zindagi Se Kya Vasta,
Gham Hi Hamari Manjil Hai Gham Hi Hai Raasta…
Pal Pal Uska Saath Nibhate Hum,
Ek Ishare Par Duniya Chod Jaate Hum,
Samunder Ke Beech Mein Pahunch Kar Fareb Kiya Usne,
Wo Kehta To Kinare Par Hi Doob Jaate Hum.
hum to teri dil ke mahefil sajane aaye they,
teri kasam tuje apna banane aaye the,
kis bat ki saja di tu ne hamko,
bewafa ham to tere dard kam krne aaye they...