Kash Pyar Ka Insurance Hojata,
Pyar Karne Se Pehle Premium Bharwaya Jata.
Pyar Me Wafa Mili To Theek Warna
Bewafaon Pe Jo Kharcha Hota Uska Claim To Mil Jata
Peete to sabhi hain apna gum bhulane ke liye...
Humne bhi pee uski yaad apne dil se mitane ke liye...
Peene ke baad pata chala kambhakt sharab me wo nasha nahi hai...
Ye sharab uss shabab ke aage kuch bhi nahi hai...
Socha kisi aur haseena se dil laga lenge...
Kisi aur ki chahat ko hum apna bana lenge...
Par kisi aur haseena se bhi hum ye dil laga na sake...
Aur din raat peekar bhi hum usse bhula na sake...
Bewafa Hai Dunia Kisi Ka Aitbaar Na Karo,
Har Pal Dete Hai Dhoka Kisi Se Pyar Na Karo,
Mit Jao Beshaq Tanha Ji Kar,
Par Kisi Ke Sath Ka Intzaar Na Karo.
Log Kehte hain ki ye har gam bhula deti hai...
Dil me basi kisi ki yaad mita deti hai...
par wo yaad hi kya jo isse peene se mitjaaye...
sharab to bas uske bina jeena sikha deti hai...
Tera Zikar Bhi Karna Chhor Diya
Ab Hum Ne Rona Chhor Diya
Jub Rona Nahin To Hasna Kiya
Ab Hasna Hasana Chhor Diya
Har Shakhs Ne Hum Ko Zakham Diye
Ab Dil Ko Lagaana Chhor Diya
Tum Rootha Karte Thay Hum Se
Ab Hum Ne Manaana Chhor Diya
Teri Yaad Bohot Aati Thi Humain
Tujhe Yaad Bhi Karna Chhor Diya.
गैर जो ले बोसा तुम्हारा तो तुम्हे बुरा नहीं लगता,
हमसे गले मिलने में भी तुम्हे तकलीफ होती है,
दिल के पन्नों पर तेरे नाम लिखे थे मैंने,
जबसे की है तूने बेवफाई तबसे मेरी तहरीर रोती है.
Deewana Hu Mein Ye Sara Zamana Janta Hai,
Har Dard Se Waakif Hu Mein Sara Zamana Janta Hai,
Bat Jab Chalti H Husn Pe Marr Jane Ki,
Naam Aata H Mera, Sara Zamana Janta Hai.
Mohabbat Karne Wale Aankhon Ki Baat Samajh Lete Hain,
Sapne Me Mil Jaaye To Mulaqat Samajh Lete Hain,
Rota To Aasman Bhi Hai Apne Bichde Yaar Ke Liye,
Par Log Apni Khushi Ki Khatir Use Barsat Samajh Lete Hain.
Pyar Me Humne Kya Kuch Nahi Luta Diya,
Unko Psnd Thi Roshni Or Hmne Khud Ko Jla Diya,
Jab Hame Jalta Dekh Kar Muskuraye Wo,
To Humne Apna Sara Dard Bhula Diya.
Bewafa Nahi Hai Woh Yeh Manta Hun Main,
Woh Bhi Chahte Hain Hamein Yeh Jaanta Hun Main,
Magar Itna Bhi Toh Yaaron Nadan Nahi Hun Main,
Unki Badli Huyi Najrein Toh Pahchanta Hun Main…
Kyu Naseeb Mera Mujh Se Khafa Ho Jata Hai,
Mano Jisko Bhi Apna Wo Bewafa Ho Jata Hai,
Shiqayat Kyu Na Ho Meri Nazro Ko Raat Se,
Pura Hota Nahi Sapna Mera Or Savera Ho Jata Hai.
Kuchh Mat Poochh Tujhse Pyar Kitna Karta Hoon,
Har Raat Teri Yaad Mein Aakhein Ashk Baar Karta Hoon,
Tum Bewafa Thi Jo Pyar Se Daaman Bacha Baithi,
Main Bewafa Hoon Isliye Tujhe Pyar Karta Hoon.
Kis Tarah Teri Yaadon Se Kinara Kar Loon,
Teri Judai Ke Sitam Kaise Gawara Kar Loon,
Main Tujhse Bichhoodkar Jiyoon Toh Kaise Jiyoon,
Sochta Hoon Ab Maut Ko Hi Apna Sahara Kar Loon.