jis ko milne ki sada karta raha mein aarzoo
khud pe raha na qaboo wo jab aya mere samne
ek aarse baad mile ho kiya haal hai tumhara
itna bhi na poch saka wo jab aya mere samne
Swee2
Aye Dost Humko Saath Itna Do Ke Had Na Rahe,
Magar Aitbaar Bhi Itna Karna Ke Shaq Na Rahe,
Hamse Wafa Itni Karna Ke Kabhi Bewafai Na Ho,
Aur Dua Bus Itni Karna Ke Kabhi Judai Na Ho.
Dosti me ankhe to dil ki juban hoti hai,
Sachi dosti to sada bejuban hoti hai,
Dosti me dard mile to kya ghabrana,
Suna hai dard se dosti jawan hoti hai.
Mohabbat karne wale ko diwana kah diya.. Pyar me jalne wale ko parwana kah diya...dafna diya apni mohabbat ko pauharo ke neche .,use logo ne mumtaz ka aashyana kah diya.?
Sirf najdikiyo se mohabbat hua nahi karti,
Fasle jo dilon me ho to fir chahat hua nhi karti
Agar naraz ho khafa ho to shikayat karo hamse
Khamosh rahne se dilo ki duriya mita nhi karti.
Hamare samne mahefil me aye baithe hai
apne hatho me hamara dil dabaye baithe hai
jab hamne pucha kya hai hato me
to bahana bana diya ke mahendi lagaye baithe hai . .
Ek Din Atitude Hum Bhe Dikhaynge.
Jee Bhar Ke Sab ko Hum Bhe Rulaynge.
Paidal Chal Rahe Honge Dost Sare.
Aur Hum Aaram Se Kandho Pe Let Kar jayenge......
Jab Lage Zakhm To Qaatil Ko Duaa Dii Jaaye
Hai Yahii Rasm To Ye Rasm Uthaa Dii Jaaye
Tishnagii Kuchh To Bujhe Tishnaalab-E-Gam Kii
Ik Nadii Dard Ke Shaharon Men Bahaa Dii Jaaye
Dil Kaa Vo Haal Huaa Ai Gam-E-Dauraan Ke Tale
Jaise Ik Laash Chattaanon Men Dabaa Dii Jaaye
Ham Ne Insaanon Ke Dukh Dard Kaa Hal Dhuundh
Liyaa
Kyaa Buraa Hai Jo Ye Afvaa Udaa Dii Jaaye
Mere Dard Se Bhare Paimane Yu
Chalak Jate Hai, Reh Reh Kar
Tere Kisse Yaad Aate Hai,
Kehte Hai Waqt Har Gum Ko Bhar
Jata Hai, Par Na Jane Kyu Mere
Zakham Or Gehre Ho Jate Hai!!