khwab ke tarah bikhar jane ko jee chahata hai
aisi tanhai ki mar jane ko jee chahata hai
ghar ke vahshat se larazata hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko jee chahata hai
dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko jee chahata hai
kabhi mil jaye to raste ke thakan jag pade
aisi manzil se guzar jane ko jee chahata hai
wohi paiman jo kabhi jee ko khush aaya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko jee chahata hai
Jab tera hukm mila tark muhabbat kar di
dil magar is pe wo dhadhaka ki qayamat kar di
tujh se kis tarah main izhar-e-tamanna karta
lafz sujha to mani ne bagavat kar di
main to samajha tha ki laut aate hain jane wale
tune jakar to judai meri qismat kar di
mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyar aata hai
teri ulfat ne muhabbat meri aadat kar di
puch baitha hun main tujh se tere kuche ka pata
teri halat ne kaisi teri surat kar di
Mere Mehboob Ko Jis Din Janab Aap Dekhoge,
Hosh Udh Jayenge Jab Unhe Benaqab Dekhoge,
Noor Par Ek Aftab Dekhoge,
Raat To Raat Rahi Din Mein Bhi Khawab Dekhoge.
Chupkay Say Chand Ki Roshni Choo Jaye Apko
Dheeray Say Ya Hawa Kuch Keh Jaye Apko
Dil Say Jo Chahtay Hoo Maang Lo Khuda Say
Hum Dua Kartay Hain Mil Jaye Woo Apko
Tum Humko Kabhi DiL Se Na Juda Karna,
Hume Bhool Jao Kabhi Na Ye Gunha Karna,
Kuch Din Beet Sakte Hai Baat Kiye Bina,
Mgr Zindgi Na Beet Jaye Dua Karna.
Aapki Yaad hi Meri Jaan hai,
Shayad Iss Haqeeqat se Aap Anjaan hai,
Mujhe Khud nahi Pata ki Mai Kaun hu,
Aapka Pyaar hi Meri Pehchan hai..
By - Silent love.
Zindgi ek PAL hai,,Jisme Na Aaj Hai Na KAL hai..
Jee Lo Isko Is Trah se,,
ki Jo Bhi Aapse Mile Wo Yahi Kahe,,
"Bas Yahi Meri Jindgi Ka Sabse HASEEN Pal Hai."
हल्की सी आहट पे भी ये दिल धड़क जाता है
तेरी खामोशी का शोर मुझ तक चला आता है
तु कुछ ना कह मुझ से मे सुनती हूँ तेरी हर सदा
मेरे शहर का हर परिंदा अब तेरी खबर लाता है।