Doston ki dosti ne , Dosti me uljha diya,
Dost mila unme aisa k jisne pyar jga diya,
Fir tod k mera dil, mujhe sari umar rula diya,
Bs is tarah mujhe duniya ne dosti aur pyar sikha diya..
Hatho me hai lakiren hazar,
kisi me gum to kisi me khushiyan beshumar,
na jane vo kaun c lakir hai yaar,
Jisme likh diya khuda ne aap jaise Dost ka Pyar
Dosti achchi ho toh rang laati hai,
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
Par agar dosti apne jaisi ho....
.... Toh itihaas banaati hai !
Hum whisky nahi pite, hum rum nahi pite,
Hum jaam ke naam par gum nahi pite.
Lekin agar mil jaye yaro ki mehfil,
Khuda ki kasam, phir kisi se kam nahi pite.
Dosti phool nahi jo murjha jaye,
Dosti mousam nahi jo badal jaye,
Dosti toh dharkan hai jo chale to sab kuch hai,
Aur agar na chale toh kuch bhi nahi..
नोट :dollar: इकट्ठा करने की बजाय दोस्त :two_men_holding_hands::two_men_holding_hands::two_men_holding_hands: इकट्ठा किये है हमने इसीलिए आज पुराने भी चल रहे है.
Jo dil ke karib hi nahi saanso me base ho,
Dost sachche gar sath ho to roya nahi karte.
Jo ho jeene ki wajah vo har pal yaad aate hai,
Gum me bhi sukun de ese doston ko khoya nahi karte.