Intzar Ki Aarzu Ab Kho Gayi Hai,
Khamoshiyo Ki Aadat Ho Gayi Hai,
Na Sikwa Raha Na Shikayt Kisi Se,
Agar Hai To Ek Mohbbat,
Jo In Tanhayion Se Ho Gayi Hai.
Mohabbat se wo dekhte hain sabhi ko
Bas hum par kabhi ye inayat nahi hoti
Main to sheesha hu tutna meri fitrat hai
Esliye muje pattharo se koi sikayat nahi hoti
Ye chirag benazar hai ye sitara bezuban hai
abhi tujhase milta julata koi dusara kahan hai
wohi shakhs jisape apne dil-o-jan nisar kar dun
wo agar khafa nahi hai to zarur badaguman hai
kabhi pa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko
pana
ye janam janam ka rishta tere mere daramiyan hai
mere sath chalanevale tujhe kya mila safar mein
wohi dukh bhari zamin hai wohi gham ka aasman
hai
Unka har sitam akhri smj kar sahte rahe,
khushiya apni dekar gam unke lete rahe,
unki har farmaish ko haste-2 pura kiya,
or hme vo anjan samj kr bhulate rahe.
Dilkash Bhari Bahaar Mein Dabdab Si Nigahen,
Andar Kahin Se Udhti Hain Dardili Karahen,
Khsiyon Ke Bahane Kai Vaise Toh Hain Yahan Par,
Par Dard Mand Ke Liye Bas Ask Aur Aahen,
Duniya Ke Liye Jeene Ke Hain Lakhon Yu Tarike,
Beemar Ke Khatir Toh Mahaj Mout Bhari Rahein,
Dukh Baar Baar Usko Rulata Raha Hai Aksar,
Woh Baar Baar Leta Raha Khuda Ki Panahein…
Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha
Kashti Ke Musafir Ne Samander Nahi Dekha
Be Waqt Ager Ghar Jaon Ga Sab Chonk Parein Gey
Ik Muddat Hui Din Me Kabhi Ghar Nahi Dekha
mousumi
Rulaane Ke Liye Apni Kahaani
Hi Kaafi Hai, Ishq Me Chaar
Pal Ki Zndgaani Hi Kaafi Hai,
Doobne Ke Liye Samundar Ki
Zarurat Nahi, Apni Palko Se
Tapka Hua Paani Hi Kaafi Hai..!
Aisa Nahi Ke Sagar Ko Aarju Nahi Hai Khusiyo Ki,
Magar Ise In Dard Mein Bhi Ek Ajib Sa Maja Aata Hai,
Yeh Isliye Bhi Badhana Chahta Hai Apne Dard Ko Dosto,
Kyunki Kahte Hain Badh Jaane Par Dard Dava Ban Jata Hai…
Yun Dil Ko Gud Gudaya Har Gham Jaga Diya,
Usne Hansi Hansi Mein Humko Rula Diya,
Puchha Jo Hamne Kis Or Ab Miloge,
Chutki Mein Ret Lekar Use Uda Diya,
Roshan The Raat Humse Khaime Musafiron Ke,
Din Ke Safar Mein Humko Bhula Diya,
Jab Kagajon Par Dil Ki Kimat Likhi Huyi Thi,
In Deemakon Ko Kisne Pata Bata Diya…
Dukh Dard Ke Maaro Se Mera Zikar Na Karna,
Ghar Jao To Yaaron Se Mera Zikar Na Karna,
Woh Zabt Na Kar Payenge Aankhon Ke Samundar,
Tum Raah Guzaron Se Mera Zikar Na Karna,
Phoolon Ke Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sada
Se,
Dekho Kabhi Khaaron Se Mera Zikar Na Karna,
Shayad Ye Andhere Hi Mujhe Raah Dikhaye,
Ab Chaand Sitaron Se Mera Zikar Na Karna,..ii