Toote Hue Pyaale Mein Jaam Nahi Aata,
Ishq Mein Mareej Ko Aaraam Nahi Aata,
Ae Bewafa Dil Todne Se Pehle Ye Soch Liya Hota,
Ki Toota Hua Dil Kisi Ke Kaam Nahi Aata.
Usne Mujhe Aazmaya Bohat Hai,
Ja Ja K Maine Use Manaya Bohat Hai,
Sach Pochiye To Bohat Pyara Lagta Hai Dil Ko,
Wo Shakhs Jisne Mujhe Rulaya Bohat Hai.
Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunate Rahe,
Humari Tanhayion Se Ankh Churate Rahe,
Aur Hume Bewafa Ka Naam Mila, Kyunki,
Hum Har Dard Muskura Kar Chipate Rahe.
Baad Marne K Mere Tum Jo Kahani Likhna,
Kaise Barbaad Hui Meri Jawani Likhna,
Yeh Bhi Likhna K Mere Honth Hansi Ko Tarse,
Umer Bhar Ankh Se Behta Raha Pani Likhna.
हमें अपने प्यार पर बहूत गुमाँ था,
जिसे हमने प्यार किया अजब इंसा था.
आया दौर जब बनवाई का हमपर,
जो हमनफ़स था वो भी जुदा जुदा था.
अजनबी हो गया जो आशना था कभी,
ऐ ख़ुदा मेरी तकदीर में ये क्या लिख्खा था.
कब्र भी न सुखी थी अब तलक मेरी,
उसने अपना आशियाना फूलों से सजा रख्खा था.
वो आई थी कब्र पर मेरी, अपनी माँग भरकर,
मगर सिंदूर पर नाम किसी और का लिख्खा था.
Bewafai UsKi Mita Kar Aaya Hun,,
Khat Us K Paani Main Baha Kar Aaya Hun,,
Koi Parh Na Lay Us Bewafa k wadaun Ko,
Is Liye Pani Mein Bhi Aag Laga Kar Aaya Hun
Dur Na Jaya Karo Dil Tadap Jata Hai.
Apake Hi Khayal Me Din Guzar Jata Hai.
Aaj Pucha Hai Dil Ne Ek Sawal Unse
Kya Dur Rahakar Unko Bhi Hamara Khayal Aata Hai.
Ye Zakham Mere Paas Tere Pyar Ki Nishani H,
Bhool Kar Bhi In Par Na Marham Lagana Tum,
Jab Kabhi Tum Tanha Ho Aur Meri Yaad Satati Ho,
Bewafa Hoon Main Yahi Apne Dil Ko Samjhana Tum.
Jidher Bhi Jaoon Nazar Mein Us Ka Chehra Rahta Hai
Wo Mere Dhiyan Ke Sabhi Raastoon Mein Rahta Hai
Bicharh Kar Us Se Pereshan Mein To Hoon
Par Suna Hai Wo Bhi Uljhanoon Mien Rahta Ha
Har Dhadkan Mein Ek Raaz Hota Hai,
Har Baat Ko Btane Ka Ek Andaaj Hota Hai,
Jab Tak Thokar Na Lage Bewafai Ki,
Har Kisi Ko Apne Pyar Par Naaj Hota Hai.
Mujhko Udaas dekh kar, Zamane ne yehSaawal kia
Woh kon Hai zalim, Jisne tera yeh haal kia
Maine kaha woh mohabbat hai, jo meri unke sath hai
woh nikli bewafa bus itni si baat hai.
True love always hurts.....
Lamha Lamha Saanse Khatm Ho Rahi Hai,
Zindagi Maut Ke Pheluo Mein So Rahi Hai,
Uss Bewafa Se Mat Pucho Meri Maut Ki Wajah,
Wo To Bus Zamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai.
Ashqon Se Nahi Bujhte Shole Dard-E-Pyaar Ke,
Maut Bhali Aise Itne Lambe Intezaar Se,
Marte Hai Roz Ham Bina Dedar-E-Yaar Ke,
Tanhai Acche Thi Uss Bewafa Ke Pyaar Se.
Unki Mohabbat Ke Abhi Nishaan Baaki Hai,
Naam Lab Par Hai Aur Jaan Baki Hai .
Kya Hua Agar Dekh Kar Muh Pher Lete Hai,
Ganimat Hai Ki Shakal Ki Pehchaan Baaki Hai.