Khud Ki Mohabbat Fanah Kon Karega,
Sabhi Nek Banenge To Gunah Kon Karega,
Aye Khuda Sanam Bewafa Ko Bachaye Rakhna,
Warna Hamari Maut Ki Dua Ab Kon Karega.
टूटे हुए दिल ने भी उसके लिए दुआ मांगी,
मेरी साँसों ने हर पल उसकी ख़ुशी मांगी..
न जाने कैसी दिल्लगी थी उस बेवफा से,
के मैंने आखिरी ख्वाहिश में भी उसकी वफ़ा मांगी….
Bewafa hai duniya kisi ka aitbaar na karo,
har pal dete hai dhokha kisi se pyaar na karo,
mit jaao tanha jee kar,
par kisi ke saath ka intezaar na karo.
Dil Ki Dhadkno Ko Ek Lamha Sabar Nahi,
Shayad Ki Usko Ab Meri Kadar Nahi,
Har Safar Mein Mera Kabhi Humsafar Tha Wo,
Ab Safar To Hai Magar Wo Humsafar Nahi.
Mohabbat Mein Pyar Ko Azmaya Nahi Karte,
Jo Jal Rahe H Mohabbat Mein Unhe Aur Jalaya Nahi Karte,
Wadda Kiya H To Wadda Nibhana Sikho,
Iss Kadar Tod Ke Wadda Kabhi Jaya Nahi Karte.
Usko Chaha To Bohat Magar Wo Mili Hi Nahi,
Laakh Koshish Ki Magar Faasla Mita Hi Nahi,
Usko Zamane Ne Majboor Is Kadar Kar Diya,
Ki Meri Kisi Bat Pe Wo Ruki Hi Nahi,
Khuda Se Joli Faila Ke Manga Tha Usey,
Khuda Ne Meri Kisi Dua Ko Suna Hi Nahi,
Har Ek Se Pucha Sabab Uske Na Milne Ka,
Har Ek Ne Bataya Ke Wo Mere Liye Bani Hi Nahi,
Me Tamaam Umar Ki Koshish Ke Bawjood Nakaam Ho Gaya,
Aur Wo Usko Mil Gai Jisne Use Kabhi Manga Hi Nahi,
Shayad Is Duniya Me Wafa Ka Koi Sila Hi Nahi…
Unka Thikana To Dil Me Tha Humare,
Par Unse Do Qadam Bhi Aaya Na Gaya,
Humne Ro Kar Pucha Kyu Tod Diya Pyar Ka Wada,
Usne Has Kar Kaha, Bus Nibhaya Na Gaya.
Us bewafa ne mujhe pyar karke bhi chhod diya,
mujhe akela kar tanhaiyon se naata mera jod diya,
jab aai mout apni to usse raha na gaya,
aaya vo laas par meri or mujhe bina jalaye hi
chhod diya
Dard ko jaaan sake aisa koi insaan nahi mila hume
is dunia se,
jo humne pura na kia ho aisa koi armaan nahi mila
hume is dunia se,
saath de sakte the unki khusi ka unki mahfil me
hum,
unki mahfil ka bhi waqt tha tab jab hume jaana tha
is dunia se..
Jinhe Humne Chaha Tha Apni Jaan Ki Tarh,
Apni Zindagi Ki Pehchan Ki Tarah,
Zinhe Manta Raha Ek Kuraan Ki Tarh,
Na Jaane Kyon Hume Bhool Gaye Ek Anjaan Ki Tarh.